2014-09-09

                                       Bismillah-Al-Rehman-Al-Raheem

Assalam -u- Alaikum everyone,

jesa k aap sab log jantay hein k watan-e-azeez is waqt aik bohat bari sazish ka shikaar hai aur ye sazish kisi dushman mulk kay zariye nahin balkay hamaray apnay hi ham-watno kay zariye ki jaa rahi hai. Kiyoon k Dushman ye janta hai k ye mulk-e-Pakistan hai aur is pay hamla kar kay to wo apnay napaak iradon mein kabhi kamyaab nahin ho sakta issi wajha say ham pakistaniyon ko apas mein hi larwaya ja raha hai "Police ho ya Civilians" hein to hamaray apnay behan bhai hi na, aur is nakami ki wajha hamaray apnay amaal aur deen say doori hai, yaad rakhiye Allah paak us qaum pay azab nazil farmata hai jo qaum apnay khaliq-e-haqeeqi kay ehkaamat ko bhool jaye aur gunahon ki taraf mutwaja ho jaye.

Allah Taala Quran-e-Paak mein farmaata hai k;

Allah ki rassi ko mazbooti say thamay rakho aur tafaruqay mein na paro.

To mein aap sab logon say guzarish karoon ga kay apna apna muhasiba ki jiye aur poochiye apnay dill say k kya aap log aaj Firqa Wariyat / aur mukhtalif jamaton ki shakal mein taqseem nahin ho chukay, aaj nafsa nafsi ka daur hai aur isi daur kay baray mein pyare Aqa(S.A.W) nay irshaad farmaya tha k us daur mein khoon sufaid ho jayein gay (Bhai Bhai ko qatal karay ga) aur koi kisi ki izzat ki hifazat nahin karay ga. Wo zamana qayamat ki nishaniyon mein say hoga, to kya ye sab kuch nahin ho raha?

Aaj logon ko mukhtalif jamaaton mein taqseem kiya ja chuka hai aur ye sazish Islam kay khilaaf barson pehlay say nafiz-ul-amal hai, dushman Muslims ko tabah karna chahta hai aur iski aik wazeh misaal aap log Ghaza attacks ki soorat mein deikh hi chukay hein.

To mein baat karna chahoon ga mulk ko darpesh maujooda issues ki, To aap log ye baat bakhoobi jantay hein kay haal hi mein pakistan mein elections hue jis kay natayij PML-N kay haq mein gaye aur PML-N aik wazeh bartari say muntakhib hui aur PML-N nay pooray mulk ko darpesh issues ko hal karnay kay liye kaam shuru kiya aur itnay sangeen issues ko mumkina had tak solve kar liya aur mulki moeeshat mustehkam hona shuru ho gayi.

Hamara mulk taraqi ki rahon pay gamzan hi tha k Dushman-e-Islaam -o- Pakistan nay sazish karna shuru kar di aur chand anaasir kay zariye apna napaak maqsad hasil karnay kay liye hamare mulk mein fasaad phela diya, mein behad fikar-mand hoon kay hamaray mulk aur mazhab kay khilaaf itni sangeen sazish ki ja rahi hai kay hamaray apnay hi behan bhaiyon ko apas mein larwa kay unka khoon bahaya ja raha hai aur unki zindigiyan cheeni jaa rahi hein, aik taraf Mazhab ka dikhawa kiya ja raha aur aik taraf naye Pakistan ka, lekin in donon ka manshoor aik hi hai aur wo ye kay Pakistan ki moeeshat ko kamzor karna aur aik terrorist country declare karwana.

Zara sochiye Poori duniya kay samnay hamaray mulk ki kya hesiyat hai duniya pakistaniyon ko kiyoon itna bura samajhti hai, kya iss sab kay zimma-daar ye hukmraan hein??? Nahin, is sab kay zimma daar ham log khud hein. Mazhab –e- Islaam mein hamein ya sikhaya jata hai k “jesi reyaya hogi us pay wesay hi hukmraan musalat kiye jayeingay”. Aaj mazhab kay naam pay wo jhoota Paadri awam ko bewaqoof bana kay begunah aur masoom logon ko apnay isharon pay nacha raha hai, hamaray mazhab mein hai k jis shakhs mein jhoot ki khaslat deikh lo uski baat pay kabhi yaqeen na karo, ye shakhs bohat jhoota aur Munafiq hai, lekin kehta hai k ye hamare Silsila –e- Aaliya yani Silsila-e-Qadriya say taluq rakhta hai. Nahin, meray murshad Sheikh Abdul Qadir Jelaani R.A nay bhi to Hazoor S.A.W ki hi itaat ki thi aur pyare Aqa S.A.W nay farmaya tha k roz-e-mehshar har koi apnay amaal ka zimmadaar khud ho ga.

Aaj logon nay Allah Paak aur Rasool Allah S.A.W kay tamaam ehkamaat bhula diye hein aur logon ki itaat karna shuru kar di hai, yehi wajha hai k hamara mazhab bhi logon kay samnay aik misaal ban-nay jar aha hai, Islam to Aman ka gehwara hai, to ye kesa sheikh-ul-islaam hai jo apnay pero karoon ko apni jaan bachanay ki khatir marwa raha hai aur unhein jannat ki khushnoodi suna raha hai. Mujhay Allah Taala say bohat darr lag raha hai aur mein sab kay liye dua go hoon aur sab say darkhwast karta hoon kay Khudara aesay jhootay aur munafiqeen pay aetqaad karnay ki bajaye Allah Paak pay bharosa rakho aur usi say madad mango, aur Allah Paak kay tamaam ehkaamat ko mana karo, Allah aur uskay rasool S.A.W ki itaat karo, Ehl-e-Beyat, Sahaba ikraam aur Auliya Allah ki shan mein kabhi gustakhi na karo, lekin aesay jhootay aur fraud logon ki baton mein na aya karo, apni jaan aur izzat ki hifazat karo aur aik muslim ban kay dikhao, wo muslim jiski zindigi Allah aur us kay Rasool S.A.W kay ehkamaat kay ain mutabiq ho.

lekin Allah Paak ki rehmaton ka koi andaza bhi nahin laga sakta. Allah paak nay ham logon pay apna khasoosi karam kiya aur is sazish ko nakaam kar diya, lekin ye anaasir abhi bhi apnay mazmoom azayim pay datay hue hein aur Pakistan ki sakht mazeed kamzor karna chahtay hein. To meray pyaray hamwatno, mein aap sab say ye guzarish karoon ga kay Khudara mushkil ki iss ghari mein sahi faisla ki jiye aur iss szish ko mukamal taur pay nakaam bananay kay liye apna musbat kirdar ada ki jiye, is sazish ka aik bohat bara hissa to khud corrupt log hein, zara sochiye kay wo koun say anaasir hein jo iss waqt iss sazish ko support kar rahay hein, kya un mein Q-League, MQM, Sheikh Rasheed, aur Shiya masliq kay log manzir-e-aam pay nahin hein? Kya ye saaray anaasir mulki mufaadat ki sazish kar rahay hein ya apnay zaati fawayid ki?

Imran Khan bazat-e-khud aik sahi insaan tha, lekin iqtdaar mein anay ki lalach aur in anaasir ki miss-guidance nay usay aik aesay do-rahay pay la khara kiya hai kay ab usay wapsi ka koi raasta nahin mill raha wo ab apni sysat bachana chahta hai aur iski wajha say wo baqi tamama winners pay keechar uchaal raha hai, agar masla sirf aur sirf rigging ka hota to iskay iss march say pehlay jo Election tribunals nay jo results declare kiye thay unhein maan leita ya supreme court kay decisions ko hi maan leita, magar iss nay sab idaron ko corrupt declare kiya aur re-election tak ki offer ko thukra diya, to aap log hi batayie agar idaray ghalat hein to kya re-election karwana bhi ghalat tha?

Aur rahi baat Sheikh-ul-Islaam ki to mujhay bataiye k kya is shakhs nay dehshat gardi nahin karwayi? Jab Police apnay tamam senior Officers kay saath aur DCO, DPO kay saath wo rukawatein hatanay gayi to kya inka farz nahin banta tha kay Police kay saath co-operate kartay? Agar wo haq bajanib hotay to next day Court say rajoo kartay aur court un Officers kay khilaf karwayi karti, lekin Shikh sahib nay to apnay giroh ko kaha kay dat jao Police kay saamnay aur apni janein day kay bhi meray hukam ki tameel karo.

Allah kay bando mujhay ye batao kay wo kounsa mazhab hai jo apnay pero-karoon ko dehstah gardi karnay ki taleem deita hai? Police Department, Adaltein, aur baqi tamaam idaray to public ko sahooliyaat faraham karnay kay liye banaye jatay hein aur wo Public us country kay citizens hotay hein, Na kay koi khaas giroh ya jamaat, balkay dehshat-gard girohon ya jamaton say nimatnay kay liye hi to ye idaray tashkeel diye jatay hein, aur ye jo Government leaders hotay hein ye un idaron ko resources farahm kartay haein aur direction detay haein.

To kya un rukawaton ko hatwanay ki zimma daari government pay ayid nahin hoti? aap log faisla ki jiye agar aesay issues ko solve karnay ki zimma daari government pay ayid nahin hoti to kya mein bhi apnay ghar kay samnay apni marzi say dewaar bana kay baki tamaam logon ka raasta band kar doon? Yaa aap log hi kar li jiye, phir mujhay bataiye ga k pareshaan awam kahan jaye? Police kay paas? Court mein? Governemtn kay Paas? Aur agar government bhi koi iqdaam na karay to phir bataein ham kya karein gay? Aesi situation mein to jiski laathi uski bheins wala qanoon hi nafiz-ul-amal hoga. Aur ham jahil log hi ye shikayat karein gay kay koi bhi idara kaam nahin karta, Government relief farahm nahin karti. Allah kay bando kabhi ye socha hai kay zalim zulm karnay wala nahin balkay zalim wo hai jo apnay ooper zulm karwata hai. Ham log hi idaron ko kaam nahin karnay deitay aur phir shikayat kartay hein kay hamein insaaf nahin mila. Mein ham logon ki iss bebasi aur masoomiyat pay bohat fikar-mand hoon, aap log aaj bhi Aqa S.A.W ki itaat ki jiye aur unki hadees mubarika pay amal ki jiye jiska mafhoom ye hai.

Ilam hasil karo God say Gor tak. Takay tum log tareeki kay andheron say nikal sako. Taleem hi insaan ko achay aur buray mein farq karnay ki tameez sikhati hai aur isaan mein shaoor peda karti hai kay insaan ko apni zindigi kin asoolon kay mutabiq guzarni hai, aur apnay jayiz maqasid kesay hasil karnay hein.

Aaj Islam dushman anaasir nay hamein firqa-wariyat mein dhakeil diya hai aur yehi wo waqt hai jiskay baray mein Aqa S.A.W nay nishandehi kit hi kay meri ummat kay 72 firqay hoon gay aur un mein say sirf aik janaati ho ga, aur mujhay bohat afsos say ye baat kehna par rahi hai k aaj wo waqt aa chukka hai aur yehi halaat iss waqt mulk mein chal rahay hein kabhi Shiya Sunni fasaad ki shakal mein to kabhi wahabi –o- deo bandiyon ki shakal mein, lekin sab say sacha aur sahi insaan yani Momin wo hai jo Allah Taala kay tamaam ehkamaat ko manay aur ye kabhi na sochay k mein Shiya hoon, sunni hoon ya jo koi bhi degar firqay hein unsay taluq rakhta hoon balkay ye sochay kay mein muslmaan hoon aur mujhay Allah Tabarak wa-Taala kay ehkamaat ki perwi karni hai aur apni zindigi islaami qawaneen kay mutabiq guzarni hai.

Islam kay qawaneen ye hein, Jhoot mat bolo, Shirk mat karo, kisi ko bura na kaho, kisi pay bohtaan na lagao, hameisha naik amal karo, aur Aqa S.A.W ki Itaat karo aur Aqa S.A.W nay khutba hijat-ul-widaa mein irshaad fermaya kay, aaj kay baad kisi arbi ko ajmi pay ajmi ko arbi pay, Goray ko Kaalay pay, Kaalay ko goray pay koi fauqeat hasil nahin hai, tamaam insaan barabar hein aur ham sab bhai bhai hein.

Is hadees –e- mubarika nay hamein zindigi guzarnay kay behtreen asool bata diye aur ab ye sirf ham logon pay munhasir hai kay ham log apni zindigi in qawaneen kay mutabiq guzartay hein ya nahin. Aaj hamaray mulk ki jo soorat-e-haal hai ye sirf aur sirf ham logon ki wajha say hi hai, zara sochiye kya ham logon ko maujooda government khatam kar kay aur Imran Khan ko muntakhib karwa kay hamaray haqooq mill jayein gay? Jo ham chahtay hein kya ham un khuwahishaat ko poora karnay mein kamyaab ho jayein gay? Kabhi nahin. Imran Khan sirf aur sirf iqtdaar mein anay kay liye logon ko majbooriyon pareshaniyon ko samnay la kay apni syasat chamka raha hai.

Agar ye waqai hi kuch kar sakta to Khaiber Pakhtoon Khan mein jahan sirf aur sirf isi ki hakoomat hai wahan kay halaat tabdeel kar kay dikhata wahan ka nizaam behtar kar kay dikhata, apnay members ko to control kar nahin sakta pooray Pakistan kay selected candidates ko kesay control karay ga, yaad rakhiye iss mulk mein bohat say Mazaahib, bohat say Msaalik, bohat say idaray aur bohat si jamaatein hein, pooray mulk pay governance karna koi asan kaam nahin, to kya jis tarha Imran Khan (jisay bolnay ki bhi tameez nahin) chorr darwazay say doosron pay keechar uchaal kay hukmraan ban-na chahta hai kya kal ko doosri jamatein jo iss say bhi zyada mazboot aur taqat-war hein wo bhi aesay hi muzahray kar kay dharnay day kay iqdaar hasil nahin kar saktein? Beshak wo log bhi kal aesa hi karein gay.

Aur nateja kya hoga, kisi ameer ka kuch nahin bigray ga, hukmraan to apni apni positions sanbhaal lein gay lekin iss sab kay nuqsanaat awam ko bhugatnay parein gay, mulk mein ghurbat mazeed barhay gi, Pakistani moeeshat tabah ho jayegi aur duniya mein Pakistan ki mazeed badnaami hogi, aur pakistaniyon ko hiqarat ki nigah say deikha jayega, kiyoonkay ham log aesi qaum ban chukay hoon gay jinhoon nay apna hi hathon apna sab kuch luta diya hoga. Ham log phir say ghulami ki zindigi guzarnay pay majboor ho chukay hoon gay. Agar aap sab log aesay halaat say bachna chahtay hein to Khudara mushkil ki iss ghari mein maujooda hakoomat ka saath di jiye aur apnay mustaqbil ko sanwarnay ki koshish ki jiye.

Sheikh-ul-Islaam ka ye kehna hai kay Inqlaab ana chahiye aur Imran Khan sahib ka ye kehna hai kay in luteray hukmranon ko saza di jani chahiye aur unhein kefr-e-kirdaar tak pohnchana chahiye, lekin mein ye poochta hoon kay wo kounsa inqlaab hai jis mein awam aur police ko to larwa kay zakhmi aur marwa diya jaye lekin khud aik Aali shaan container mein beithay rehna chahiye? Wo kounsa inqlaab hai jis mein baat to islam ki ki jaye lekin amal bilkul Islam kay mukhalif ho,

Sheikh Sahib farmatay thay kay unka aur unkay pero-karoon ka Imran Khan ya uski jamaat say koi taluq nahin hai wo alehda march karein gay aur unki manzil mukhtalif hai, lekin phir Masoom awam ko marwanay kay baad aur apni jaan bachanay kay liye sar-e-aam Imran Khan Sahib kay container pay jaa kay unkay hathon mein haath daal kay ye aelaan karna kay ham bhai bhai hein aur hamari manzil aik hai. Aray ye kya behoodgi aur munafiqat hai?

Imran Khan Sahib ka to maqsad hi kuch aur hai wo to naya Pakistan banana chahtay hein jahan naach gaana aam ho aur pakeeza rishton ki pehchaan bhula kay sar-e-aam duniya kay samnay naach gaana kiya jaye. Laanat hai aesi gandi soch pay, ye Mulk-e-Pakistan hai aur ye paak sar-zameen ham muslmanon kay liye Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinah R.A aur hamaray aba-o-ajdaad nay apni janon ki qurbaniyan day kay ham logon kay liye hasil kiya hai, takay ham azadana taur pay Ibadat kar sakein aur Islam kay bataye hue qawaneen pay amal kar kay apni zindigi guzaar sakein.

Agar Sheikh Sahib waqai hi Sheikh-ul-Islaam hotay to apnay Per-o-karoon ko aelaniya taur pay kehtay kay unka maqsad sirf aur sirf insaaf hasil karna hai aur unki team Imran Khan ki behoodgi phelanay wali team say hargiz koi rabta na rakhay kiyoonkay wo log Islami qawaneen ki khilaf warzi kar rahay hein aur Naach Gaanay ki Islam mein sakht mumaniyat hai. Lekin mein sadqay jaoon in sheikh sahib kay, jinhoon nay apnay kirdaar ka inkishaaf pooray media kay samnay kiya. To bataiye meray azeez ham-watno kya hamein aesa Pakistan chahiye???

Agar baat hoti sirf aur sirf insaaf hasil karnay ki to Government donon fareeqein kay jayiz-o-najayiz tamaam mutalibaat pehlay hi maan chuki hai inki kmarzi kay mutabiq FIR darj ki gayi, inhi ki marzi kay mutabiq Prime Minister tak ko FIR may nominate kiya gaya, lekin ye kya maajra hai kay ye ab bhi wapis hatnay ka naam nahin lay rahay? Ye to chahtay hein kay Fard-e-Jurm bhi yehi ayid karein, aglay ko zimmadaar thehratay hue Saza bhi yehi suna dein aur aglay ko Phansi bhi lagwa dein, aur Imran Khan sahib kehtay hein kay wo ab naya Pakistan bana kay hi wapis jayeingay, jesa kay wo chahtay hein. Mein Mian Nawaz Sharef ya kisi bhi jamaat ka himayti nahin hoon lekin sirf aur sirf insaaf ka taqaza poora kartay hue aap logon kay ilam mein ye sara majra lana chahta hoon kay akhir itni bari sazish hamaray mulk aur hamaray mazhab kay khilaaf ki ja rahi hai aur ham sab logon ko is sazish ka hissa ban-nay pay majboor kiya jar aha hai. Ham sab logon ko apas mein larwanay ki koshish ki ja rahi hai.

Iss mushkil waqt mein hamara farz banta hai kay sab log mill kay iss sazish ko nakaam bananay mein apna musbat kirdaar ada karein aur aik sachay Pakistani honay ka sabot dein. Allah Paak ham sab ka Hami-o-Nasir ho aur hamein sahi faislay karnay ki taufeeq ata karay, Aameen Sum-Aameen. 

Show more