2014-08-18

By Komal Malik



Ek bar phir Tharparkar kay log news headline ban gaye. Tharpakar mei rehna hamesha se mushkil raha hai phir chahy wo insan ho ya janwar. Approximately 300 bachy pichly saal buri aab-o-hawa ki waja se jan-bahaq hogaye thy, aur ab government ki taraf se officially is jaga ko “drough hit” kaha jaraha hai. Wysy verification nahi hai par media reporters ka kehna hai kay 1000 log jin mei 600 bachy thy wo sab pani ki khatir apni jan se hath dho baithy.

Pichly teen saal se in gaon mei ek qatra barish nahi pari.

Aur apni government bohat susti kar rahi hai is area ko “drought hit”manany mein karny mein -_- jis ki main waja yahi ho sakti hai kay agar is area ko drought hit keh diya tou phir bhari imdad dyna hoge obviously is liye sb ne apni ankhein bnd ki hui hein -_-

Media ne is issue ko kafi highlight kia hai aur is kay nateejay mei ab government ne fianlly thora sahrminda ho ke drought management and mitigation policy ki ek committee banai hai. Committee kay 22 member ne mil kay ek final draft tyar kia hai jo na sirf Thar ko bal kay aas pass kay sabhi villages ko cater kar raha hai. Aur ab bhae ye government ki responsibility hai kay wo is ki implementation kysy karty hain.

Protocols ka set bhi tashkeel diya gaya hai jo kay is drought declaration ko facilitate kary ga, lykin akhir mei karna sab kuch government ko he hai. Wysy bhi na sirf Thar bal kay Balochistan aur Cholistan kay kuch areas ko bhi drought aur flood ka khatra hai, aur hona tou yahi chaye kay un kay liye proper arrangements kiye jaye relief waghera kay. Ab hum tou hopeful hain agay daikhaye kay kia hota hai.

News source: The Express Tribune

Image source : The Express Tribune

For more news please visit www.shashca.com

Show more