2013-09-27

By Muzammil Kamran



Israeli Media ka kehna hai ke ek American oil company, Genie Energy, ne makbooza (occupied) Golan Heights ke shoomali (southern) hissey (part) main aik bara survey mukammal kar liya hai aur is ke nataij (results) kuch haftoun main a jaen gey.

Hairan kun baat ye hai ke New Jersey-based Genie Energy jisey pichley February main Israeli govt ne ye rights diye hain, iskey malikaan (owners) hain Howard Jonas , Lord Jacob Rothschild aur media ke ek barey malik Rupert Murdoch jo ke ameer tareen Zionists main atey hain.

Reports ka kehna hai ke drilling jesy hi survey ko analyse kiya jata hai shuru ho jaye gi, mazeed ye baat pata chali hai ke is ilaqey main se oil nikalna Mediterranean jahan oil aur gas 5 km se neechay hai, is se zyada sasta aur asaan hoga.

Kuch commentators ne awaaz uthae ke yeh ek makbooza jagah (land) hai yahan oil ki digging (nikalna ya khudai karna) international law ko torna hoga. Genie ke Israeli manager jo ke sabiq (former) minister bhi reh chukey hain unka kehna hai ke unhe is mamley main koi international dabao (pressure) ki tawaqoh (expectation) nahi rakhtey, Syria se jo ke abhi ek androoni (internal) jang main mubtila hai.

Hebrew business daily Globes ne khabardaar kar diya hai ke yahan bhi occupied Sinai peninsula ke 1970 jesa haal hona hai. Idhar Tel Aviv ne bhaari tadaad main oil nikala tha, jis ka Egypt aaj tak kufaara (compensation) ada kar raha hai bawajood Camp David Accords ke.

Is akhbaar ne mazeed yeh kaha ke, Cairo is baat par Israel ke khilaaf ek lawsuit submit karaney ke process main hai, aur is ke badley main kaee billions of dollars ki demand kar raha hai.

News Source http://www.globalresearch.ca

Picture Source http://www.globalresearch.ca

Mazeed news ke liye visit kijiye www.shashca.com

Show more