By Muzammil Kamran
Ustad Nusrat Fateh Ali Khan October 13‚ 1948 ko Faisalabad main paida huey jo ke Pakistan ke sath sath poori dunya main mani janey wali best awaaz hai. Khan shb ki khasoosiat thi ke inho ne Qawwali ko buht farogh diya.
Khan shb ki awaaz main aik mast nasha tha ke aur unki khasiat yeh thi ke woh kaee ghanton tak high pitch pe ga liya kartey they, jo ke aam baat nahi. Is ki waja se inko ”Shahenshah-e-Qawwali” ke laqab se jana jata hai.
Khan shb ke walid fateh Ali Khan shb ye nahi chahtey they ke yeh bhi Qawwali gayen kyun ke isko muashrey main kam status tha aur chaha ke yeh doctor banain lekin Khan shb ne kaha ke wo Qawwali ko agey le ke jayen gey. Inho ne tabla seekha shuru kiya aur baad main Raag Vidya and Bol Bandish se mosiqi shuru ki. Khan shb ne apni pehli perfommance apne walid ke chehlum pe 16 saal ki umr main di thi aur 1971 main yeh apni khandaan ki qawwal party ke sarbarah ban gaye.
Khan sahb ko poori dunya main beshummar shohrat hasil thi inhe Oriental Star Agencies, Birmingham, England ne 1980 main sign kiya. Khan sahb ne Europe, India, Japan, Pakistan, aur U.S.A main ja ke apni albums release keen aur kayi westren musicians ke sath contracts sign kiye. Khaan sahb na 40 mulkon main apne suron ka jadu bakhaira. Is ke sath sath Khan shb ke ganey Bollywood ki films mainn bhi aye.
Khan shb ne apna naam Guiness World Records main likhwaya ke Qawwali artist honey par sab se zyada output diya. Inho ne 2011 main 125 albums nikaleen.
Khan shb London main they ke 11 August 1997 ko in ke jiger aur gurdey main masla aya, ye kidney transplant ke liye Los Angeles USA janey waley they ke 16 August 1997 ko Cromwell hospital main main dil ka dohra para aur ye jahan se bicher gaye.
Source: exclusive report with the information form Wikipedia
Picture Source: Nusrat blogspot
Mazeed news ke liye visit kijiye www.shashca.com