By Muzammil Kamran
Ameer, Jamaat-e-Islami, Pakistan, Syed Munawar Hasan ne kaha hai ke US-India k Pakistan ke khilaaf khufiya taluqaat aur sazishain Pakistan ke liye sab se bari threat hain.
Unho ne ek statement main kaha ke US Secretary of State John Kerry ki statement jis main wo hamesha ki tarah indirect panga le raha hai aur India ko puthi mat de raha hai ke US ke Afghanistan se elections ke baad nasney par India ek ehm role play karey aur wahan pe kam az kam 1.5 lakh foujiyon ko bhaijne ka irada karey jis se ye zahir hota hai ke ye kuch nahi sirf aur sirf Afghanistan main aman ko tabah karney ki sazish hai aur is ke khilaaf New Delhi ke plans ko support karney ki sazish.
JI ke Ameer ka kehna hai ke Pakistan ke bemaan hukmaranon ne US ke sath jang main hissa le ke mulk ko ek buht bara nuqsaan pohnchaya hai. Ye mulk us din se dehshat gardi ka shikaar hai jis din se yahan US ki fouji aye they.
Unka kehna tha ke moujooda hukmaraan bhi Zardari aur Musharraf ko follow kar rahey hain aur anno ki tarah India ko apna bara bhae manney ke liye tayyar hain.
Syed Munawwar Hassan ne government pe zor dia hai ko wo Kerry ki is statement pe action lain aur Washington ko yeh wazeh kar dain ke India ke aney se koi aman nahi aney wala balkey aur tabahi hogi.
Unho ne kaha ke Pakistan ko Afghan war ki waja se buht bara nuqsaan uthana para hai. Is ki independence aur sovreignity ka dunya ke samney mazakh uraya gaya hai aur dunya main is ki image ko kharaab kiya gaya hai. 50,000 Pakistanis US ki jang se halaak huey hain aur is ki economy bhi tabah ho ke reh gayi hai.
News Source geo
Picture Source geo
Mazeed news ke liye visist kijiye www.shashca.com