2015-12-18

Safa Marwa History In Urdu: Safa Marwa se Islam se pehle bhi log saee karte thay. Hazrat Hajra AS apne betay Hazrat Ismail AS ke liye pani ki talash mein jin pahariyon ke darmiyan sargardaan hoi thien un mein se aik ka naam safa aur dusri pahari ka name marwa hai. Manasik hajj ki istalah mein safa aur marwa ke darmiyan 7 martaba anay janay ko saee kaha jata hai aur jis jagah sae ki jati hai us ko Arabic mein Mas'aa  kehte hain. 1069 tak kyoun ke Khana Kaba mein koi izafa aur tosee nahin ki gayi thi. Is liye ird gird ki Makkah ki abadiyan Masjid Al Haram ke sath aa kar mil gayi thien aur Mas'aa ke donon janib construction hone se ye hisa alag thalag ho gaya tha aur qareeb hi rihaeshi makan aur bazaar hone ki wajah se khareed aur farokht ke baes sa'ee karne walon ke liye rukawat paida hoti thi.



Safa Marwa Picture
Saudi hukumat ke bani Malik Abdul Aziz Al Saud jo Allah ke mehmanon ko har haal mein aram aur sakoon pohanchane ke khawahish mand thay unhon ne hajiyon ki tadad mein din badin izafe aur namaziyon ke liye jagah ki tangi ko mehsoos karte howe Kaba ki tosee aur taraqi ke kaam ko shuru karne ka mansooba banaya. Unhon ne 1368 mein Muslim alam ko ye khabar sunai ke woh Haram Shareef ki tosee aur taraqi ka azam kar chuke hain. Aur is muqaddus kaam ki ibtida Masjid Nabawi S.A.W.W se ki jaye gi.


Safa mountain ke uper sirf chand wala aik minar hai aur 35 meter qatar ka aik gumbad hai jis ke andooni hisa ko Quran Karim ki Surah Al-Baqara ki Ayat no 158 se munqash kiya gaya hai. Islam se pehle bhi safa aur marwa ki saee ki jati thi magar donon paharon par 2 but rakhe hue thay, mushrakeen in do buton ki tazeem ki saee khayal karte thay. Udhar Ansar-e-Madina pehle hi safa aur marwa ki saee karna ma'ayub samajhte thay. Safa aur marwa ke darmiyan amdorat karna sirf Allah ki khushnudi ke liye hain. Aaj kal saee 3 muqamat par ki ja sakti hain.


Ground floor par us ke roof par aur akhri chhat par. Zameeni manzil par pehle donon pahariyon ko kaat kar sirf pahariyon ke nishanat choray gaye thay lekin ab marwa ka nishan bhi ghayeb hai woh is liye ta ke saee ke liye jagah kushada mil sake. Uper ki donon manzilon par jahan anay jane ka rasta ground floor ki taraf juda juda nahin tha aaj kal wood ki wall laga kar anay jane ka rasta juda juda kar diya gaya hai. Akhri chhat par saee ke liye electronic stairs ki madad li ja sakti hai jo safa aur Bab ul-Fatah ke qareeb tameer ki gayi hain albata dusri seerihon se bhi uper pohancha ja sakta hai jo Masjid Al-Haram ki akhri chhat par pohanchti hain.

Saee Ki Niyat
Translation: Aay Allah: Main teri raza aur khushnudi ki khatir safa aur marwa ke darmiyan saee ke saat chakar karne ka irada kar raha hon, tou isay mere liye asaan farma de, aur isay qabool farma.

Safa Marwa Se Utarne Ki Dua
Tarjuma: Aay Allah: Tou mujhe apne pyare Nabi S.A.W.W ki sunnat ka tabay bana de aur mujhe un ke deen par moot naseeb farma aur mujhe panah de fitnon ki gumrahiyon se apni rehmat ke sath, aay sub se zayada reham karne wale.

Show more