2015-02-19

Muraqaba Ka Tareeqa: Hamare haan aik dusre se agey barh jane aur kamyabi aur nakami ke tasawar ne is qadar jar pakar li hai ke ab hum khushi ke asal meaning bhula kar isi kamyabi aur nakami ko khushi samajhne lagey hain. Ye dor yani khushi ke husool ki koshish ne na sirf hum se hamara waqt cheen liya hai yani hum apni marzi se waqt istemal nahin kar sakte balkeh ye hamare liye shadeed zehni aur jismani dabao ka baes ban rahi hai. Isi dabao se nijat ka aik behtareeb zariya muraqaba hai.

Ye bhi darasal Yoga ki aik shakh hai jisay hindi mein dhayana kehtay hain. Hindu philosophy ke mutabiq dhayana ke amal se guzar kar yoga ki jis shakh ki taraf safar kiya jata hai usay samadhi kehte hain yani zehan ke ala shaoor ki halat mein hona. Darasal is barhtay hue muashi aur muasharti dabao se nijat ka tareeqa ye hai ke hum khud se ham ahamgi hasil karain. Aisa karne ke liye humain hamare andar mojood ala darjay ke shaoor ko baidar karna parta hai aur yehi muraqaba ka bunyadi falsafa hai.

Sufi Meditation: Muraqaba ka first step ghor o fikar karna hai. Is ke liye mutalqa shakhs ko khamoshi aur sakoon ki halat mein baithna parta hai is ke baad ankhain band kar ke kisi aik chez ya waqia ke bare mein sochna parta hai. Itni gehrai ke sath ke us chez ya waqia ki tasweer zehan mein ubhar aye. Ye Muraqaba ki sada tareen shakal hai. Is halat mein mutalqa shakhs kisi bhi soch par irtkaz kar sakta hai for example apne past ke waqiat ko aik khas tarteeb mein yaad kar ke aik film ki surat apne zehan mein mehfooz kar lay ya qudarti dunya par matwaja ho kar kisi khubsurat nazaray ke bare mein sochay aur zehan mein us ki tasweer banaye.



muraqaba in Islam

Aisa karne ka result ye hota hai ke us ka zehan munazam ho jata hai aur us se na sirf mutalqa shakhs ko zehni sakoon hasil hota hai balkeh wo aisi halat mein ajata hai ke khuch hasil kar sakay. Goya Muraqaba hamare zehan ko baikar sochon se nijat dila kar usay aham chezon ki taraf mael karta hai aur hamari rozmara ki karkardgi ko barhata hai.

Jub koi first time irtkaz ki exercise karta hai tou us ka zehan aik se 2 minutes mein hi bhatakna shuru ho jata hai. Is surat mein mutalqa shakhs ko ya tou narmi se dimagh ko irtkaz ki taraf mael karna chahiye ya phir usay waqti tor par rok dena chahiye aur baad mein dobara irtkaz ki exercise karni chahiye. Rafta rafta zehan ka artkaz ka doraniya barh jata hai aur phir waqt guzarne ke sath dimagh itna adi ho jata hai ke wo baghair koshish ke irtkaz ki halat mein ajata hai. Ye is baat ki alamat hai ke zehan ki jagah ala darjay ke shaoor ne lay li hai.

Ab hum mutalqa shakhs ke zehan par banai gyi picture ki taraf atay hain. Shuru mein manzar qati sairbeen ki tarah hota hai lekin jese jese dimagh ki exercise barhti jati hai is manzar ki hadood kam hoti jati hai yani ye manzar mehdood hota jata hai. Ye is baat ki ilamat hai ke mutalqa shakhs ka ala shaoorkhud ba khud tafseelat ko khatam karta ja raha hai aur aik khas nuqtay ki taraf barh raha hai. Is tarah zehan bhi aik khas nuqtay ki taraf markoz ho jata hai.

Muraqaba Benefits: Ye zehan ko idhar udhar bhataknay se rokta hai, ye hafzay ko behtar banata hai, tanao ko kam karta hai aur sub se barh kar apne ilm ki taraf rehnumai karta hai. Irtkaz ki exercise par maharat hasil karne mein bechaini se nakami ke siwa khuch hasil na ho ga. Is ke liye shuru mein bari mustaqil mazaji ki zaroorat parti hai. Mumkin hai ke is ke fori nataij hasil na hon, aisi surat mein mutalqa shakhs ko bad dail nahin hona chahiye kyoun ke chand dinon ki mustaqil mazaji unhain bohat ache nataij dila sakti hai.

Show more