Aaj har koi Facebook ka use jaroor hi karta hain. Facebook ka istemal hum chatting, sharing , Photo upload aadi karne ke liye karte hain. Youth ke liye yeh accha time pass ka jariya hain. Lekin kya aapko pata hain ki aap Facebook ke jariye paisa bhi kama sakte hain. Ji, Haan hum sach keh rahe hain. Facebook se paisa kaise kamaya jata hain, Iske bare mein aaj hum aapko batane ja rahe hain.
How to earn money from Facebook in Hindi/Urdu. Facebook se paisa kaise kamaye? Tips for earning from Facebook. Paisa kamaye online Facebook ke jariye.
Aise kamaye Facebook se paise :-
Facbook ke advanced user features ki help se money earn ki ja sakti hain. Iske liye aapko Facebook par apna Page banana hoga. Aapke apne page ko daily update karna hoga. Aisa karne se jab aapke Facebook Page par jyada traffic aur Likes hone lagenge aur aapki reach badhti chali jayegi. Reach ke badhne par, Facebook aapke page ko automatically scan kar lega.
Iske baad aapke page par Advertisement milne lagenge. Jiske jariye aap Facebook se paisa kama sakte hain. Halanki iske liye aapko Facebook par ek request karni padegi, Jise Facebook approve karega.
Aap Facebook se kitna paisa kama sakte hain , Yeh aapke Facebook use aur aapke page ke reach ke upar depend hain.
Facebook par Business aur Advance User feature ki puri jankari ke liye neeche link par click kare :-
Https://www.facebook.com/security
Kaise kare register :-
Iske liye aapko Facebook ka advance user banna padega. Aap jaise hi Facebook ke Advanced user banenge, aapke paas ek notification aayega ki aap Facebook ke advance user ban chuke hain.
Advance user banne ke baad aapko ek form fill karna padega, jisme aapke bank ki private jankariya, Jaise bank account number aur kai dusri information fill karni padegi. Form fill karne ke 48 hours ke andar aapka account activate ho jayega.
Yeh option philhal Advance user banne ke liye test hone ke baad notification ke jariye Facebook aapse contact karega. Iske baad aapki har activity par nazar rakhi jayegi.
Video sharing ke jariye kijiye kamaai :-
Agar aap apni timeline ya Facebook page par koi Video upload karte hain, to bhi aap Paisa kama sakte hain. Jo bhi video aap upload karenge, Facebook uspar Ads chalayega aur isse hone wali earning aapse share karega.
Lekin jo Video aap upload karenge, Vah ekdum original hona chahiye aur oos par kisi ka copyright nahi hona chahiye. Matlab ki ekdum naya hona chahiye aur Internet par kanhi bhi Veh video pahle se mauzood nahi hona chahiye.