2015-09-07

Alsi ke fayde kya hain? Kya aap jante hain, Kuch ka manana hain ki Alsi (Flax Seeds) Duniya ka sabse powerful plant hain. Kuch researches se yeh baat samne aayi hain ki isse Dil ki bimari, Cancer, Stroke aur Diabetes ka khatra kam ho jata hain. Is chote se beej se hone wale faydo ki list kafi lambi hain, Jiska istemal log sadiyo se karte aaye hain.

Alsi ko 3000 B.C. se pahle Babylon mein ugaya gya tha. 8th Century mein King Charlemagne Alsi se sharir ko hone wale fayde mein itna yakin karte thay ki unhone ise khane ke liye ek kanoon bhi parit kar diya tha. Aaj 1300 saal baad Experts ne primary researches ke bases par yeh kaha hain ki Charlemagne ka andesha bilkul sahi tha.

Vaise bhi Alsi mein sabhi tarah ke swasthvardhak tatv paye jate hain, Par inme se 3 aise tatv hain jo behad hi khas hain. Isme Omega-3 Fatty Acid paya jata hain. Yeh Fat accha hota hain aur Dil ko sehatmand rakhta hain. Ek chammach Alsi mein kareeb 1.8 Gram Omega-3 Paya jata hain.

Alsi se hone wale fayde (Benefits of Flax Seeds In Hindi) :-

1. Cancer :- Modern researches mein yeh baat samne aayi hain ki Alsi mein Breast Cancer, Prostate Cancer aur Colon Cancer se bachane ke gun paye jate hain. Isme paya jane wala Lignans Cancer se bachata hain. Alsi mein Alpha-Linolenic Acid paya jata hain, Jo Arthritis, Asthma, Diabetes aur Cancer se ladne mein madad karta hain. Khas taur par Colon Cancer se ladne mein sahayak hota hain.

2. Cardiovascular disease :- Research se yeh pata chala hain ki Alsi mein paya jane wala plant Omega-3 jalan ko kam kar aur Heart beat ko normal kar Cardiovascular System ko behtar banata hain. Kai researches mein yeh baat samne aayi hain ki Omega-3 se bharpoor bhojan se dhamiya hard nahi hoti hain. Saath hi yeh White Blood cells ko Blood Vessels ke aantrik parat par chipka deta hain, Jisse dhamniyo mein flack kam matra mein jama hota hain.

3. Madhumeh :- Primary Researches mein yeh pata chala hain ki Alsi mein mauzood Lignan ko lene se blood sugar level behatar hota hain. Simit matra mein Alsi ka sewan Khoon mein sugar level ko control karta hain. Isse sharir ke androoni parts healthy rahte hain aur behtar kaam karte hain.

4. Jalan :- Fitzpatrick ki mane to Alsi mein paye jane wale LLA aur Lignan jalan ko kam karta hain, Jo ki Parkinson disease aurĀ  Asthma ko janm deta hain. Darasal yeh kuch Pro-Inflammatory Agents ke bahaav ko band kar deta hain. Jalan ka kam hona dhamniyo mein jama hone wale plague se related hain. Yani ki Alsi heart attack aur stroke ko bhi rokta hain.

5. Hot Flash :- 2007 mein mahilaon ke periods par ek report publish ki gyi thi. Isme kaha gya tha ki 2 chammach Alsi ko Anaz, Juice ya Dahi mein mila kar din mein 2 baar lene se Hot flash aadha ho jata hain. Saath hi hot flash ki tivrata mein bhi 57% tak ki kami aati hain. Sirf ek hafte tak lagatar Alsi ke sewan karne par mahilaye fark dekh sakti hain aur 2 hafto mein best results mil sakte hain.

6. Vegetarian logo ke liye Alsi Omega-3 ka behatar option hain, kyonki ab tak machli (Fish) ko Omega-3 ka accha source mana jata tha, Jiska sewan Non-vegetarian log hi kar pate thay.

7. Alsi mein Omega-3 bharpoor matra mein paya jata hain, Jo khoon ke thakke banane ya usay jamne se rokta hain. Kyonki khoon ka thakka banane se khoon ke bahaav mein rukavat aati hain aur attack ka khatra banta hain. Alsi is sambhavna ko khatm kar deti hain.

8. Alsi ke tel ki malish karne se sharir ke parts healthy bante hain aur behtar tarike se kaam karte hain. Is tel ki massage se chehre ki skin glowing ho jati hain.

9. Isme mauzood Lignan naam ka tatv, Aanto mein active hokar , aise tatvo ka nirmaan karta hain, Jo Female hormones ke balance ko banaye rakhne mein important role ada karta hain.

10. Yeh body ke extra fat ko kam karti hain, jisse aapka wajan kam hone mein shayata milti hain. Yeh blood mein cholesterol level ko kam karne mein bhi kargar hain.

11. Rojana Subah-Shaam ek chammach Alsi ka sewan aapko puri tarah se healthy rakhne mein helpful hota hain. Ise pees kar paani ke saath liya ja sakta hain. Alsi ko niyamit dincharya mein shamil kar aap kai tarah ki bimariyo se apni raksha kar sakte hain, Saath hi aapko doctor ke paas jaane ki bhi jaroorat nahi hain.

12. Bhoore aur Kale rang ke yeh chote-chote beej, Dil ki bimariyo se aapko bachate hain. Isme mauzood ghulansheel Fibers, Natural taur par sharir ke cholesterol level ko control karne ka kaam karte hain. Isse Dil ki dhamniyo mein jama cholesterol ghatne lagta hain, aur blood flow behtar hota hain. Result ke taur par heart attack ka khatra na ke barabar ho jata hain.

13. Alsi mein mauzood Anti-Oxidants aur Phytochemicals, Badhti umar ke lakshano ko kam karti hain, Jisse skin par jhurriya nahi aati hain aur kasaav bana rahta hain. Isse skin healthy aur chamakdaar banti hain.

Show more