2015-09-01

Aaj hum aapko Diabetes ke baare mein puri jankari dene ki koshish karenge. Mote taur par samjhane ki koshish kare to Diabetes jise Madhumeh ya Sugar bhi kaha jata hain Unbalance Hormones, Motapa aur unhealthy Lifestyle ka ek mila-jula result hain. In karano se bhojan se mila Carbohydrate, Jise hamari koshikaon mein energy dene ka kaam karna chahiye, Vah khoon mein hi ghoomta rahta hain. Isse khoon mein sugar ki matra to jaroorat se jyada milti hi hain, Sharir ki sabhi ango ki naso par iska asar padne lagta hain.

Diabetes kitni tarah ki hoti hain ?

Diabetes ke Type

1)  Type 1 Diabetes :- Yeh bachpan ya kishor awastha mein achanak insulin ke production mein kami hone se paida hone wali bimari hain. Isme Insulin Hormone banana puri tarah se band ho jata hain. Aisa kisi Anti-Body ki wajah se Beta Cells ke puri tarah se kaam band karne ke karan hota hain. Aise mein sharir mein Glucose ki badhi hui matra ko control karne ke liye Insulin ke injection ki jaroorat hoti hain. Iske mareez kafi kam hote hain.

2) Type 2 Diabetes :- Aam-taur par 30 saal ki umar ke baad dheere-dheere yeh badhta hain. Isse prabhavit jyadatar logo ka wajan samanya se jyada hota hain ya unhe pet mein motape ki samsya hoti hain. Yeh kai baar anuvanshik hota hain ya phir kharab lifestyle ke karan hota hain. Isme Insulin kam matra mein banta hain ya phir Pancreas sahi se kaam nahi kar raha hota hain. Diabetes ki 90% patients is category mein aate hain. Exercise, Balanced Diet aur Medicines se ise control mein rakha ja sakta hain.

Kaun-kaun se test karwaye :-

Blood Test

Agar blood sugar 170 se jyada nahi hain to peshab mein nahi aayegi, Isliye blood test jaroori hain. Blood test 2 baar kiya jata hain- Khali pet aur nashta ya glucose lene ke baad.

Dhyaan rakhe:-

1. Is test se 3-4 din pahle se Carbohydrate se bharpoor khana khana chahiye.

2. Test se pahle Cholesterol kam karne wali Niacin Tablets, Vitamin C, Aspirin, Garb-Nirodhak dawaaiya aadi ka istemal bilkul na kare. Inse peshab mein sugar level kam aa sakta hain, Jisse sahi reading nahi aa payegi.

3. Jis vyakti ko 75 gram Glucose kha kar 2 ghante baad test dena hain, Usay kanhi nahi jana chahiye. Balki vahi thaharna chahiye. Ek dedh ghante tak ghoom aaye, aisa nahi karna chahiye. Isse test ke result par asar padta hain.

Diabetes ke mareez hain to in testes ko karwate rahe

- Khali pet Blood Sugar (Normal Range 100-120) aur khana khane ke 2 ghante baad (Normal Range 130-160) hafte mein kam se kam ek baar.

- HbA1c Test har teen se chaar mahine baad karwaye.

Is test mein aapko khali pet ya khana khane ke 2 ghante baad ka blood sample dene ki jaroorat nahi hain. Kabhi bhi kisi bhi lab mein jakar HbA1c (Glycated Hemoglobin) test karane ke liye sample de sakte hain.

Yeh test sirf diabetes ke mareez hi nahi balki normal aur Pre-diabetic log bhi karwa sakte hain. HbA1c se sahi samay par Diabetes ki sahi process ka pata lagaya ja sakta hain. Isse aise bina diabetes wale mareezo ka confusion bhi khatm ho jata hain, Jinka emergency mein kiye gye test mein blood glucose level jyada aaya ho.

Is test se last three months ki average stithi ka pata lag jata hain. Hemoglobin blood ke red cells se banta hain aur isme glucose milta hain to Glycosylated hemoglobin banta hain. HbA1c test pichale teen mahino ka average blood sugar level bata deta hain. Iski normal range 4 se 6 percent tak maani jati hain, Lekin 5.7 se 6.4 percent hone ka matlab aapki sehat ke liye khatre ki ghanti baj chuki hain. Yeh Pre Diabetes ki stage hoti hain, Jo aage chal kar diabetes mein badal sakti hain. Diabetes ke mareezo mein HbA1c 6.5 se 7 percent tak rahe to diabetes control mein maani jati hain.

Aur kaun si jaanch karwaye :-

- Khoon mein cholesterol aur Fat ki matra ke liye Lipid Profile test.

- ECG aur TMT test aankho ki jaanch ke liye.

- Wajan ka record

- Pairo ki jaanch, Blood pressure ki jaanch.

- Kidney ka test.

Yeh sabhi jaanch 1 saal mein ek baar kara le.

Sabhi ango par Diabetes ka asar :- Kidney par kuch saal baad iska asar shuru ho jata hain. Ise rokne ke liye blood sugar aur blood pressure dono ko normal rakhna chahiye. Blood sugar level ko control mein rakhkar aankho ki motiyabind jaisi bimariyo se bachaya ja sakta hain. Diabetes ke mareezo mein aksar 65 saal ki umar tak pahuchate-pahuchate Dil ke daure ki samsya shuru ho jati hain. Isse bachne ke liye glucose level ko control mein rakhne ke saath-saath blood pressure, Cholesterol aur tension aadi par bhi control karna chahiye.

Dusri bimariya :-

- Heart Attack, Stroke, Lakwa, Infection aur Kidney Failure.

- Skin aur Aankho ki samsya.

- Pairo ki samsyaen.

- Daanto ki bimariya.

- Purusho mein napunsakta aur mahilaon mein baanjhpan.

- Frozen Shoulder ya kandhe ka jam hona.

Kya Kahti hain Nayi Research

- Diabetes ko control karne ke liye Lifestyle mein sudhaar kisi bhi nayi ya purani dawaao se jyada kargar hain.

- Agar aapko dil ke daure ka jyada khatra hain to kuch dawaaye bachaav ki jagah nuksaan pahucha sakti hain.

- Dil ka daura aane ke baad blood sugar jyada kam rakhna bhi khatarnaak hain. Aise mein fasting blood sugar 120 aur khane ke 2 hours baad ka blood sugar level 180 se kam na hone de.

- Nayi insulin par research chal rahi hain. Ise soongh kar ya tablet ke roop mein liya ja sakta hain. Iske aa jane ke baad diabetes ke mareezo ki zindagi behad asaan ho jayegi. Lagatar blood sugar level ko monitor karne ke liye naya monitoring system Jise CGM kahte hain, Insulin Pump M Other naya device hain jisse niyamit roop se insulin seedhe sharir mein liya ja sakta hain.

Insulin ka istemal

Kai baar niyamit insulin ki dose lene ke bawjood blood sugar level control se bahar rahta hain. Galatfahami mein log ise be-asar maan lete hain aur Insulin ka istemal band kar dete hain. Aise mein samsya aur gambhir ho jati hain. Insulin khareedte waqt yeh check karle ki vah sahi hain ya nahi. Halaki ise dekhkar asli-naklee ka pata lagana mushkil hain. Kai baar hum Insulin ke rang se uske asli-naklee ka andaaza laga sakte hain. Is samsya se bachne ke liye kisi Registered Chemist se hi ise khareede aur iska bill le. Iske saath hi yeh bhi jaanch le ki Insuline ke storage mein Temperature ke standards ka dhyaan rakha gya hain ki nahi. Iski quality barkarar rakhne ke liye ise 8 se 10 degree temperature par rakhna chahiye. Chemist ki dukaan se ghar tak laane aur ghar mein ise store karne mein bhi temperature ka dhyaan rakhna bahut hi jaroori hain. Kai baar log ise scooter par door-door se garmi mein lekar aate hain ya gaadi mein insulin rakh lete hain. Parking mein dhoop mein gaadi khadi rahne se insulin kharaab ho jati hain. Sahi temperature maintain na hone ki wajah se bhi insulin ka asar kam ho jata hain aur istemal karne ke bawjood aapki samsya badhti rahti hain. Diabetes ko control mein rakhne ke liye Doctor ki salah par Insulin lene se hich-kichaye nahi, Kyonki iske bina aapki samsya badhkar Kidney, Liver, aankho aur heart jaise important parts ko apni chapet mein le sakti hain aur aapka jeena mushkil bhara ho sakta hain.

Kise padti hain Insulin ki jaroorat ?

Sugar ke vah mareez, Jinko dil ki bimari ho ya lakwa ka attack aa chuka ho, Aankho ki bimari ho, Infection ho, T.B. ho ya operation hone wala ho. Diabetes se peedit garbhvati mahilaon ko. Jab dawaaon se diabetes control mein na aa rahi ho. Kisi wajah se mareez Subah ya shaam ko Injection lagana bhool jata hain to Mareez ko ek saath 2 injection Kabhi nahi lagane chahiye. Kabhi mareez ko lagta hain ki aaj khane par control nahi ho payega to veh insulin ki matra ko badha sakta hain.

Insulin lene ka sahi tarika :-

- Diabetes ke mareez Siring aur Insulin ki shishi ki bajaye Insulin Pen ka istemal kar sakte hain, Kyonki ise asaani ke saath kanhi bhi liya ja sakta hain.

- Insulin ka injection hamesha khane se pahle lagana chahiye. Subah breakfast karne se pahle aur Raat mein dinner karne se pahle 15-20 minutes pahle Insulin ka injection lena chahiye.  2 Injections ke beech 10 se 12 Ghanto ka difference hona jaroori hain. Khane ke ekdum saath Insulin ka injection na lagaye, Kyonki aisa karne se blood sugar level badh sakta hain. Insulin ko thandi aur saaf jagah par rakhe.

Aapko yeh Articals bhi pasand aayenge :-

Diabetes mein kya khaye aur kya naa khaye.

Diabetes se jude Myths aur Satya (Myths & Facts).

Diabetes ke ilaj ke liye kuch gharelu nuskhe.   

Show more