2016-02-11

HikmatKada Shakti Prash Recipe & Benefits



Agar ap is post ko aik bar pora parh lain gay to samjhain ap ki zindagi ki tamam ronaqain phir say lout ain gi, poray yaqeen kay sath shoro say akhir tak parahain.

Bar Bar Ilaj Kiyun??? Mard aur Khawateen Kay liaye Khas Tuhfa

Khas Lamhat aur Khas amraz kay liaye Khas Tuhfa for every man and woman Aj kal her dosra mard aur khatoon kisi na kisi poshida marz ka shikar hay. Magar ab  fikarMand hona chhor dain, kiyunK HikmatKada ab la raha hay ap kay liaye aik aisi dawa jis nay apnay asar ka loha manwa kar Pakistan aur India main kamiyabi say sab say ziada sale honay wali product ka rutba hasil kar lia hay. HikmatKada Shakti Prash, ji han, ous khas dawa ka nam hay “Shakti Prash”, yeh aik aisi dawa hay jo mard aur khawateen dono kay her tarah kay poshida jismani aur azdawaji Jinsi masail ka bohat he kamiyab hal hay.

HikmatKada ki din rat ki mehnat rang lay ai aur hum nay shakti prash ko os kay asal ajza aur tarkeeb kay sath tayar kar lia hy, aur ab her mayos mard aur aurat per ehsan kartay howay shakti prash kay mukamal ajza aur tayyari ka tarika-kar bhi Fi Sabi Lillah apni website per upload kar rahay hain.

HikmatKada Shakti Prash Kia Hay?

HikmatKada Shakti Prash aik aisi majoon hay jo keh 30 qodarti jari botiyon aur khalis murakabat say tayyar ki jati hay, in sub 30 ajza main say 8 ya 10 ajza aisay hain jo keh kafi costly / mehngay hain, maslan Mastagi roomi taqreeban 23000 rupay ki aik kilo milti hay, isi trah salajeet 11000 ki aik kilo milti hay, aur Aqar Qarah taqreeban 12000 ki aik kilo milti hay. isi trah baqi kuch jari botiyan aur murakabat bhi isi trah mehngay damon ap kay shehar kay bazr main pansari ya hakeem ki dokan per farokht hotay hain.

Yahan HikmatKada Shakti Prash main shamil ajza ki qeemat batanay ka maqsad apko darana nahi hay, balkeh is dawa ki afadiyat say apko aagah karna hay. yeh sub mehngi ashiya Qudrat ka tuhfa hain aur bohat faidayMand hain. aik bat yad rakhiaye keh sehat kay mamlay main kabhi bhi paisa kharch karnay say mat dara kijiaye, kiyunK tandrusti hazar naimat hay, agar aap tandrust ho to her chiz achi lagti hay aur sehat ho to paisa to aur bhi kamaya ja sakta hay.

HikmatKada Shakti Prash Kesi Kam karti hay? :

HikmatKada Shakti Prash main shamil qudarti ajza jisam main mojood saray nizam ko behtar karnay kay sath sath jisam kay pathon (body muscles) ko taqat bakhshti hay aur madafati nizam (immune system) ko mazbot kar kay jisam main say fasid madoon ka ikhraj karti hay. Jigar aur masanay ki garmi khatam kar kay khoon kay doraniaye (blood circulation) ko behtar kar kay jisam ki tamam sharyano main khoon ki tarseel ko taqeeni banati hay. Dar-Asal HikmatKada Shakti Prash kay istamal say khanay walay kay jisam main aik khas qisam kay harmone “luteinizing hormone (LH)” ki afzaish main izafa ho jata hay. Aur jadeed tehqeeq say yeh bat achi trah pata chal chuki hay keh jis mard ya aurat kay jisam main luteinizing hormone (LH) ki tadad jitni ziada ho gi wo mard ya aurat jismani tor per haqooq e zojiyat main otna he ziada ba-ikhtiyar hota hay.

HikmatKada Shakti Prash Kay Nuqsanaat:

HikmatKada Shakti Prash chonkeh qudarti jari botiyon aur khalis murakabat say tayyar ki jati hay is liaye HikmatKada Shakti Prash khanay say jisam per kisi qisam ka bura asar nahi parta, matlab yeh k HikmatKada Shakti Prash ka koi side effect nahi hota. balkeh is ka musalsal istamal apki zindagi main char chand laga deta hay aur ap apni rozana ki aur azdawaji zindagi ko bohat sakon aur mazay kay sath guzarnay per qadir ho jatay hain.

Kanwaray noJawan larke aur lardkiyan bhi HikmatKada Shakti Prash istamal kar saktay hain, yeh aik bohat kamal ki dawa hay jo keh her umar kay kanwaray aur shadi shuda afrad kay liaye yaksaan mufeed hay aur sub ko alag alag tarah kay faiday deti hay.

Umer rasida afrad kay liaye to yeh mukamal nuskha-e-hayat aur naveed ki kiran-e-khas hay.

HikmatKada Shakti Prash Bananay ka mukamal tarika:

Ajza e Tarkeebi :

Ajza Group 1 :

> Amla (indian gooseberry) 5 kilo

Ajza Group 2 :

> Mastagi roomi 150 g                   > Salajeet 250 g

> Aqar Qarha 250 g                       > Mosli Safed 250 g

> Asgawandh 250 g                       > Satawar 250 g

Ajza Group 3 :

> Desi Ghee 250 g                     > Til ka tail (seasam seed oil) 150 g

> Alsi ka tail (Flexseed oil) 150 g

Ajza Group 4 :

> Gokhoru 125 g                       > Talmakhana 125 g

> Sonth 125 g                           > Kali Mirch 125 g

> Sabz Ilaichi 250 g                  > Dar Cheeni 125 g

> Jaifal 125 g                            > Long (clove) 125 g

> Jalwatari 125 g                      > Beej Band 125 g

> Gond Keekar 125 g               > SafarJal 125 g

> Otangan 125 g                      > Ajwain Desi 125 g

> Warq e Naqra 050 g             > Munaqa 250 g

> Dry Dates 125 g                   > Bidari Kand 125 g

> Barhami Boti 125 g               > Preservative 005 g

Ajza Group 5 :

> Sugar (cheeni) 3 Kg           > Khalis Shehad (Honey) 250 g

Bananay Ka Tarika (HikmatKada Shakti Prash Recipe) :

1. Sub say pehlay ajza group 01 ko achi tarah obal lain aur phir pees (grind) kar lain.

2. Ab Ajza group 03 aur Group 04 ko alag alag kharal main dal kar pees kar bareek powder ki tarah kar lain. Yad rakhain tamam ajza ko hath say kharal main dal kar pees kar bareek karna hay.

3. Ab aik bara pateela lay kar osay cholhay per rakh dain aur os main ajza group 02 bari bari dal kar achi tarah mila lain aur jab tail aur ghee garam ho jaye to os main Amla ka paste aur ajza group 3 aur group 4 kay ajza bhi mila dain (preservative kay ilawa, wo hum sab say akhir main milain gay jab shakti prash pak kar thanda ho jaye ga tab). Phir thori dair kay bad os main taqreeban 10 liter pani bhi mila dain.

4. Jab sub ashiya/ajza paknay lag jain to phir is main cheeni bhi shamil kar dain aur paknay dain.

5. 7-8 ghantay bad jab pak pak ka gharha (thick) ho jaye aur pani mukamal tor per khushk ho jaye aur paknay kay doran bulbulay bananay lag jain to pateelay ko cholhay say otar lain.

6. Jab achi tarah thanda ho jaye to is main shehad aur preservative achi tarah say mix kar dain.

7. HikmatKada Shakti Prash tayar hay. Enjoy it….

Tarkeeb Istamal aur Khorak Ki Miqdaar / Dosage:

Shadi Shuda Khawateen aur Hazraat:

Rozana rat ko sonay say 1 ghanta pehlay 10 gram yani chhota chai ka chamach thora bhara howa kha kar 10 minutes bad oper say neem garam dodh pi lain. dodh agar cow ka ho to bohat achi bat hay.

Kanwaray aur NoJawan Khawateen aur Hazraat :

Rozana subah nashta kay bad 10 gram yani chhota chai ka chamach thora bhara howa kha wesay he kha lain han agar dodh pena chahain to 10 minutes bad oper say neem garam dodh pi lain.

Borhay Mard aur Khawateen:

Subah aur sham 10-10 gram dodh kay sath ya wesay he kha lain.

Ehtiyat :

> Sugar aur BP kay mareez is dawa ko bilkul istamal na karain. BP kay mareez agar chahain to azmanay kay liaye liaye aik do din istamal kar kay dekh lain, agar mawafiq aa jaye aur koi masla na ho to istamal jari rakhain, wagarna herGiz istamal na karain.

> Is dawa say hasil honay wali bharPur taqat ko shadi shuda hazraat aur khasosan kanwaray hazraat ghalat maqasid kay liaye herGiz istamal karnay ki koshish na karain.

Agar Ap yeh nuskha khud nahi bana saktay to….. !!!

Pehlay to ap apni pori koshish kijiaye keh yeh qudarati nuskha ap khud apny hath say ghar main banain, bananay ka mukamal tarika ap abhi hamari website per parh chukay hain. Han kisi waja say agar ap yeh nuskha khud nahi bana sktay to phir ap yeh nuskha HikmatKada say bhi mangwa saktay hain. HikmatKada ka yeh nuskha SIRF aur SIRF online order kay zariaye ap kay postal addres per advance payment kay bad courier dak say bheja jata hay.

Sub say pehlay ap ko apnay matloba nuskha ki adaigi (payment) hamaray mobicash account main karna ho gi, phir ap apna postal address hamain sms kar dijiaye ga. Payment kay aglay roz ap kay bataye gaye postal address per HikmatKada Shakti Prash courier dak kay zariaye mil jaye gi In Shaa Allah.

HikmatKada Shakti Prash Ki Qeemat/Price :

Shakti Prash (Simple)

7 din ki Shakti Prash ki qeemat hay      Rs. 550/-

14 din ki Shakti Prash ki qeemat hay    Rs. 850/-

30 din ki Shakti Prash ki qeemat hay    Rs. 1250/-

Shakti Prash (Plus)

7 din ki Shakti Prash ki qeemat hay      Rs. 850/-

14 din ki Shakti Prash ki qeemat hay    Rs. 1250/-

30 din ki Shakti Prash ki qeemat hay    Rs. 1950/-

aur Rs. 200/- courier dak kay charges is kay ilawa hon gay.

Want to read in English & Urdu? URDU aur ENGLISH main parhnay k laiye yahan click kijaiye Shakti Prash in Pakistan

Aik Bohat zarori bat:

Aik bat yad rakhiaye keh yeh aik qudarati nuskha hay, is ko sirf nuskha he samjh kar istamal kijiaye. Kuch log isay nuskha kam aur jado ziada samjh baithtay hain, yani kuch log chahtay hain keh yeh nuskha istamal kartay sath he hum phir say jawan ho jain. Aisa herGiz nahi hay. Aisa to sirf allopathy yani angreezi dawa (viagra etc) say he mumkin hay. Bus Allopathy aur is qudarati dawa main farq sirf itna hay keh allopathy ki dawa ka fori asar hota hy magar wo dairPaa nuqsaan puncha kar ap kay gurday aur degar aaza ko hamesha kay liaye kamzor aur nakara bana deti hay. Jab-keh Hikmat yani desi ilaj ka asar zara dair say shoro hota hay magar dairPa hota hay aur kisi bhi qisam ka side effect bhi nahi hota, matlab kisi bhi aazo ko nuqsaan nahi pohnchta bus faida hota hay.

Please jinhain result fori chahiaye to wo log allopathy say apna waqti tor per time pass kar saktay hain aur sehat ki tabahi apnay hathon say khud kar saktay hain, yeh dawa HikmatKada Shakti Prash sirf wo log istamal karain jo sabar say kam lay sakain.

Show more