2016-02-03

Gharelu Nuskhe ~

Aksar bahut si bimaariyon mein hume yeh pta hi nahi hota ki aise mein kya khaayein aur kya naa khayein. Kaise khan paan ko badlein aur kis se karein parhez.

Gurde ki pathri hone par bhi hume kuch aisi hi saawdhaani rakhn hoti hai. Pathri ka dard peedadayak hota hai.

Pathri hone ki sambhavna ko kum karne ke liye aur pathri one par uska dark kam karne ke liye hum layein hain aapke liye aisi guide jo btayegi kidney stone diet in Hindi. To aaiye jaanein pathri hone par kya khayein aur kya naa khayein

Pathri me kya khana chahiye aur kya nahi:

Pathri se bachne ke liye bharpoor paani piye. Paani pine se gurde mein gandagi nahi jamti aur aise mein pathri hone ke chances kam hote hain.

Nityamit roop se nimbu pani pine se kidney mein stone hone ki sambhavna kam hoti hai aur garmiyon mein pet ki garmi bhi kam hoti hai.

Pathri ka banna rokne ke liye chukundar ka ras peena chahiye.

Rojana gaajar aur palak ka ras pine bhi gurde ki pathri ke hone ki sambhavna kam hoti hai.

Pathri ke rog ko door karne ke liye ganne ka ras piye. Ganne ke ras se bahut laabh milta hai.

Kidney stone se bachne ke liye jitna ho sake taral padarth ka sevan karna chahiye.

Jarur jaane: pathri rog ka gharelu ilaj

Pathri me kya nahi khana chahiye | Kidney stone hone par karein inka parhez:

Pathri hone par namak kam se kam khayein. Kam namak khane ko apni aadat bana lein.

Gurde ki pathri hone par soda se karein parhez.

Aise phal jisme choto chote beech ho unka sevan bhi naa karein.

Non-veg (jaise ki meat, anda, fish) jisme ki protein ki maatra bharpoor hoti hai, inka sevan kam se kam karein.

Chai, coffee kam se kam lein kyonki isme maujood caffeine hamare `shareer ko dehydrate karta hai jo ki pathri hone ke sambhavna badhata hai.

The post Pathri me kya khayein aur kiska karein parhez appeared first on Gharelunuskhe.com.

Show more