Gharelu Nuskhe ~
Digital world ke zamane mein agar aap bhi rojana sochte hai ki apne business se online business kaise kare? Kya hai online business? Online business start kaise kare? Kya fayda aur kitna paisa kama payenge online business se?
To iss post mein diye gaye kuch tips se aap jaan payenge online business se judi kuch baatein Hindi me.
Aksar online ka naam sunkar yehi soch aati hai, kya kare, kaise kare kahi paise to kharab nahi ho jayenge kis cheez ka kaam karu online paisa kitna kama payenge, Kitni mehnat lagegi. To inn sab questions ke jawaab aap online hi paa sakte hai.
Apne Business ko online lana:
Agar aap pehle se hi business kar rahe hai aur apne business ko badana chahte hai, to aap apni ek website banwakar ya kuch online tools ka use karke aasani se website bana sakte hai aur apne business ko bada sakte hai.
Things Required for Online Business (Online Business Karne ke liye Kya Chahiye):
Domain Name: Apne business ko online lane ke liye sabse pehle aapko ek domain name lena hona jo aapki online pehchan banayega. Domain Name availability ke hisaab se aap apne business ke naam par le sakte hai, ya usse milta julta le sakte hai. Yeh naam aapke online business ki pehchan banega, to domain name lete samay iss baat ka jarur dhyan rakhein.
Web Hosting: Web Hosting jahan par aap apni website ko host karenge aur saari files jaise ki images, html etc. jaha par daalenge.
Aap chahe to blogger ka sahara lekar bhi starting mein free mein website bana sakte hai. Aur agar aap apni pehchan starting se hi rakhna chahte hai to aap domain name ko blogger par redirect karke wb hosting ke paise bacha sakte hai aur aasani se apna blog bana kar apni online pehchan bana sakte hai.
Aap chahe to kuch free webhosting plan ka sahara lekar bhi apni website bana sakte hai.
Online Business karne se pehle rakhe kuch khaas baato ka dhyan.
The post Online Business kaise kare | Online Business Tips appeared first on Gharelunuskhe.com.