Gharelu Nuskhe ~
Aksar hum bimaar padne par sabse pehle ghar par hi uss bimari ka ilaaj karne ki koshish karte hai. Doctor ke pramarsh ke bina antibiotics kha lete hain. Doctor ki salah lena bhi zaruri nahi samajhte. Par kya aap jaante hai bina jaankari ke davai ka sevan karna hamare shareer ke liye kitna haanikarak ho sakta hai.
Lambe samay tak antibiotics ka sevan karne se dawaiyon ka asar kam hone lagta hai. Bina jaankari ke antibiotics khane se liver, pet aur kidney ke liye nuksaandayak hota hai.
Doctor apne experience aur knowledge se yeh tay karte hain ki kis mareez ko kaun si dawai deni hai aur uss dawai ki dose kya hogi. Kitne samay tak dawai leni hai, kab kab leni hogi dawa, iska andaza hum khud laga lete hai aur isi kaaran hum musibat mein bhi padh sakte hain.
Galat dhang se antibiotics ka sevan karne se hamare shareer mein laabhdayak bacteria ko nuksaan pahunch sakta hai. Isi kaaran lambe samay tak antibiotics lene se hamare shareer mein dawaiyon ka asar padhna kam ho sakta hai.
Always take antibiotics after consulting Doctor
Iske aur bhi bahut saare nuksaan ho sakte hain jaise ki haddioyon ka kamzor hona, khane ka swaad kam aana aur bhi aise bahut se gupt asar hamare shareer par padh sakte hain. Isliye aakhir mein hum aapko yahi salaah dete hai ki khud se dawai ka sevan naa karein aur apne shareer ko swasth rakhein.
The post Bina salaah ke antibiotic lena ho sakta hai nuksaandayak appeared first on Gharelunuskhe.com.