2013-11-18

Achi neend ya sleep  kay sunehri asool:

Achi neend ya sleep bhi aik naymat hai or jis ko raat ki pursakon neend na milay tou us ki sehat kharab hona shuro ho jati hai. Insaan ko achi neend ki buhut zarorat hoti hai. Agar hamari neend pori na ho tou hamari jism or dimag kay kam karnay ki rafter kum ho jati hai. Hamari productivity bhi kum hojati hai or hum apnay waqt ko sahi tarha say istamal nahi karsaktay. Mukhtalif kamon pe dyhan kum ho jata hai or koie kam bhi waqt par pora nahi hota. Zaida bykhwabi ki shikayat ho jai to masla barh jata hai.

Raat ki neend hamaray jism ko sakoon mey lati hai or dimag ko bhi zaroori rest mil jata hai. Iss tarah hum aglay din kay liyay tayyar ho jatay hai. Jo loog raat ko aaram nahikar patay un ka agla din buhut kharab guzarta hai or  musalsal neend ki kami yeh need na aanay say bimari shidat bhi pakar sakti hai. Agar insaan insomnia yani bykhwabi ka shikar ho jai tou us ki mout bhi ho sakti hai.

Totkay for Sleep or Neend:

Achi neend kay liyay kafi desi nuskhay mojood hai jin kay istamal say hum apni raat ki neend ko sehut mund bana saktay hai.

Raat ka khana soonay say 2 say 3 ghantay pahlay kha layna chahiyay.

Raat ko khanay kay baad thori walk karnay say neend yani sleep achi aati hai.

Sonay say pahlay agar garam dodh pi liya jai tou sonay mey asani hoti hai orr pursakoon  neend aati hai

Sonay say pahlay koi chai yeh coffee na li jai tou bhi neend aaram say aati hai, kio kay  chai or coffee mey mojood caffeine say khon ka dorania taiz hota hai or is waja say jism sakoon mey janay kay bajai kaam karnay ki taraf mutawajo ho jata hai. Caffeine ki waja say neend ur jati hai or kafi dair tek is ka asar rehta hai.

Koi soothing music sunnay say bhi raat ki neend achi aati hai.

Baaz ooqat jab dimag kafi kamo mey uljha howa ho tou neend aanay kay bawajod sonay ko dil nahi chahta, us waqat agar kisi buht boring kitab ko parha jai tou bhi neend anay lugti hai.

Gram dodh mey haldi ka aik chamcha dal pi liya jai forin neend aati hai, haldi mey qudrati toor per sakoon lanay wali or healing powers hai jis ki waja say jism ko aarm milta hai.

Rat ko sonay se pehle masalay dar khanon se ijtenab karen.

Sar ki halki malish say bhi neend forin aati hai or agar zara sa tail bhi laga liya jai to neend or achi aati hai.

Raat ko sonay say pahlay agsr tamam din ki prayshanio ko dimag say jhatak diya jai tou bhi neend achi or sakoon wali aati hai.iss kay liyay zara pahlay bistar par jai or zahan ko sakoon mey lay kar aie.

Koshish karen ke bistar aram-deh ho, kamray main zaida roshni na ho , aur kamray main ziada shor bhi na ho.

Kuch ghazaen neend yani ke liye mofeed hotee hain jaisa ke dhoodh, thora dalya, aaloo aur kela

Kuch ghazaen neend yani sleep ke liye achi nahin hoteen jaisa ka chocolate, coffee ya chaye aur muraghan ghazaen.

Deep breathing yani ke ghray saans bhi achi neend ya sleep lanay main madad dete hain.

Insaan ko iss ka yaqeeb hona chahiyay kay har kam ka aik waqat hota hai or khali parayshani say koi faida nahi hota or har niya taloo hone wala din umeed kay sath aata hai. Iss tarha kay jumlay sochnay say dimag pursakoon hota hai or neend (sleep) achi aati hai.

Show more