2013-10-06

 

Yaqeen

Adeel ne is rishte se bhi inkar kar diya.Umer ne Hina ke samne bethte hoe pocha. Hina jo akhbar parh rahe thee chonk kar usse dekhne lagi adeel ko shoro he se dosron ki fikar mein dobla hone ka shoq tha aur hina janti thee k jab tak pori baat sunn nahe le ga yahan se tale ga nahe lekin iss waqt woh baat karne k mood mein nahe thee iss liye mukhtasir jawab deya

Han

Keun?andaz tafshesh karne wala tha.iss Adeel k sath masla kia hai.iss larki ki taswer tu mein ne khud dekhi  thee bohat khubsorat thee.ho gi Hina ne bazahir laparwahe se kehte hoe akhbar table pe patakh diya lekin Adeel ka kehna hai k larki ka character theek nahe.what?Umer ki aawaz boland ho gai. Woh hota kon hai kisi larki k character ko nishana bnane wala

Woh keh raha tha k woh kai baar iss larki ko mukhtalif larkon k sath ghomte phirte dekh chukka hai.Hina ne btaya .Adeel k mutabiq who her cheez per samjhota kar sakta hai mager kirdar pe nahe.tai jee bohat naraz hein keun ke baat bohat aage barh gai thee woh log tu ring ka design bhi pasand  kar ae thee lekin Adeel ne jab tasweer dekhi tu saf inkar kar diya.

Jis ki apni neyat kharab ho isse her insan maan ka mela nazar aata hai.zeba jo kuch deer pehle he wahan I thee inn ki baatein sunn kar khud ko rae dene se baaz na rakh saki

Umer tanziya bola k woh kisi k maan mein jhankane ki zehmat he kab karta hai.aankhon se jo bhi dekhta hai foran uss pe yaqeen kar k statement jari kar deta hai aur chahta hai k baqi sab log bhi uss pe yaqeen Karen’last time iss ne Sabiha k liye mana kiya tha’uss k bare mein bhi Adeel ka kehna tha k woh usse apane cousin k sath shopping  karte dekh chukka hai.

Lo btao…. ye bhi koi wajha hai cousins k sath tu ham bhi shopping karne jate hein tu kia hum achi larkiyan nahe hein .Zeba  k andaz mein ghussa he ghussa tha

Tum kia jano….Adeel k khayalat tumhare bare mein bhi kuch ziyada mukhtalif nahe .Hina sirf ye soch k reh gai aur woh dono Adeel ki shakhsiyat discuss karne lage.

Ye tu sach he tha k Adeel shoro he se nehait anokhe khayalat le kar bara hoa tha .Adeel kafi kamgo tha iss liye kisi ko bhi iss k mizaj aur fitrat ka aandaza na tha kuch woh khud bhi cousins k sath ziyada free nahe hota tha kabhe kabhe jab inn sab ki mehfil  jami hoti tu Umer ya Ayaz zaberdasti sath betha lete aur phir bajae enjoy karne k jab uss k chehre pe bezari k tasorat dekhne ko milte tu hath jor kar uss se jane ki darkhoast ki jati aur woh khamoshi se wahan se uth aata.ese mein Hina  ka shiddat se dil chahta k woh usse rok le iss se baatein kare isse bolne per majbor kare mager woh esa nahe kar sakti thee .Adeel ka alag thalag sa mizaj Hina ko esa karne se baaz rakhta tha aur woh apne tamam jazbe dil he mein chupae rakhti thee.isse tu ye bhi pta na tha k Adeel iss k bare mein kia sochta hai.uss ka rawaiya Hina k sath wesa he tha jesa k baqi cousins k sath tha.woh khush feham zaror thee per  pagal nahe thee.jab ghar mein Adeel ki shadi ki baatein hone lagin tu iss k dil mein bohat se khush kon khayalat ne hal chal machi thee’keun ke baqi larkiyon k ber-aks  tai ka rawaiya hamesha iss k sath khasosi shafqat liye hota tha.ye baat sirf iss ne nahe ghar k baqi logon ne bhi note ki thee lekin uss waqt sab herat zada ho gae jab tai ne Adeel k liye khandan se bahir larkiyan dekhne ka elan kia.iss bare mein kafi dinon tak ghar mein baat hoti rahe.ager koi chup that u woh Hina thee.dil mein tofan dabae woh tai k iss fesle ka sabab janti thee jo itafaq se Hina ko pta chal gaya tha.uss din woh tai ko bulane un k kamre mein ja rahe thee jahan Adeel bhi mojod tha aur uss din iss ne jana k Adeel iss k bare mein kia khayalat rakhta hai .tai usse Hina k liye mana rahe theen aur woh bezar lehje mein keh raha tha aap ko meri tabyat ka pta hai mein Hina se shadi nahe kar sakta’sanjedgi tu uss mein nam ko nahe hai aur kitni betakallufi  balke mein tu isse bebaki he kahon ga woh Ayaz aur Bilal waghera se hansi mazaq karti hai’larti jhagarti hai’cousins hein tu kia hoa ikhlaqi hadod bhi koi cheez hoti hai .larkiyon ko tu khas kar apni haad he mein rehna chahye .shadi k baad bhi woh yehe sab kare tu mein ye begherati bardasht nahe karon ga.iss liye ammi aap iss baat ko bhol jaen baqi aap jo kahen gi mein maan sakta hon

Iss k elawa kia kahon mein ne tu hamesha Hina ko he apni baho k roop mein dekha hai aur iss ghar ki her larki per tumhe yehe etraz ho ga .cousins mein hansi mazaq baatein tu hoti he hein iss mein behodgi wali kia baat hai.khair ager Hina nahe tu phir mein khandan se bahir he ki koi larki dekhti hon ager Hina nahe tu iss khandan ki koi larki nahe.ye sab sunn kar Hina bamushkil apne kamre tak I thee mohabbat mein naarasai ka dukh itna bara nahe hota jitna janlewa ye ehsas hota hai k jise chaha ho uss se mohabbat tu kia izzat bhi na mile.woh apni he lagai hoi aag mein jal rahe thee .

 

Mubarak ho Adeel k liye larki mil he gai Zeba ne lounge mein enter hote hoe khaber sunai.kon hai woh larki Ayaz ne pocha.apni dekhi bhali he hai ‘matlab woh kehte hein na chiragh tale andhera.

Tai ki best friend Memona aunty ki beti hai Sidra.woh tu bohat achi larki hai khobsorat bhi hai aur educated bhi’nature ki bhi bohat achi hai Zoni ne tabsara kia tu Zeba ne bhi behan ki baat ki taed ki

Mere khayal mein iss  ki sab se bari khobi ye hai k woh ikluti hai.Ayaz ne hamesha ki tarha alag he nuqta uthya.kia matlab uss ki khobsorti,education kuch bhi nahe Zoni ne herat se pocha

Aur meri  nazar mein tu yek harabi hai ager uss ki aur behne hotein tu hamara chance bhi nikal sakta tha  Bilal bhi bol para jis per Zeba ne usse ghor k dekha aur kaha  han ager bhai hote tu tumhe jote bhi par sakte thee.sab Zeba ki baat sunn k hasne lage

Adeel ki kia rae hai.uss ne Sidra ko dekha tu hai na?Zeba ne ser hilate hae kaha k han dekha tu hai ‘per baqaida baat ya mulaqat kabhe nahe hoi mager aasal baat ye hai k woh razi hai.

Chalo jee Adeel ki naiya tu par lagi Bilal ne hath jhare ab hum mangni ki taiyariyan Karen.

Tum ne kia taiyariyan karni hein gharare sharare silwane hein kia? Zeba ne pocha issi waqt Hina lounge mein chae le kar a gai.wese Hina chae lane ki kia zarorat thee Bilal ne ghari pe nazar dalte hoe tanz kia mager woh bina koi raddeammal  zahir kiye sab ko chae dene lagi.tum ne suna Hina’ Adeel ka rishta tae ho gaya ab k Zoni ne usse mukhatib kia.woh chonki nahe thee baas Zeba ko cup pakrate hath zara sa kanpa tha aur garm garm chae uss k hath per gir gai

Ye Umer kahan hai sham se nazar nahe a raha’Bilal ko achank he Umer ki yad i.apne dost ki shadi mein gaya hai aur shaid usse aane mein deer ho jae Hina ne betasor lehje mein btaya.Umer k zikar per Hina k chehre per saya sa lehra gaya .becheni se pehlo badalte hoe usse bohat kuch yad aane laga.jab sham ko woh apne dil ki gabrahat kam karne k liye lawn mein chali I thee ajeeb si udasi thee jis se woh chahne k bawajod chutkara hasil nahe kar pa rahe thee.lawn mein bethe isse thori deer he hoi thee k Umer khushboen bekherta iss k samne a khara hoa.wow woh chand lamhe usse dekhti rahe’kahein jane ki tyyari hai?han friend ki shadi hai woh chair pe bethte hoe bola.wese tu mujhe deer ho rahe hai lekin jab mein ne tumhe yahan bethe hoe dekha tu apni tyyari adhori chor kar bhagte hoe aya hon.kamal hai ab bhi tumhai kuch tyyari rehti  hai .apne laparwa hulye k bar-aks tyyar hoa bohat acha lag raha tha.aur mere peche bhag k aane ki kia zarorat thee mein ne kia chori ki thee jo tum mujhe pakarne dore chale aae.woh hans para aur bola tum ne kuch nahe  mera bohat kuch churaya hai’mera sakon,chen,mera dil, mera sab kuch jazbon se pur lehje mein apni baat kehta woh Hina ko heran kar gaya na jane kitni he deer woh chup chap sakit bethe usse dekhti  rahe.

Mein kai dinon se tum se baat karna chah raha tha lekin iss ghar mein tumhara aur tanhai ka ek sath milna ek karishma he tha’kahein bahir jane ki baat karta tu sab he tayyar ho jate iss liye aj tumhe akele  dekh kar mein ne socha k iss moqe se faida na uthana bewaqofi ho gi.lawn mein achi khasi thandi hawa chal rahe thee mager phir bhi Hina ko apni hatheliyan pasine se bhegti hoi mehsos hoin.

Tum kehna kia chahte ho?sab kuch samajh kar bhi Hina Umer k monh se kuch aur sunna chahti thee maslan woh hans parta aur kehta mere ek mazaq ne tumhe kitna sanjeda kar diya hai ya phir ye k aree tum itni confuse keun ho gai mein  tu mazaq kar raha tha.mager woh tu kuch aur he keh raha tha chehre per gehri sanjidgi liye

Ammi ne mujh se meri pasand pochi thee mein ne un k samne tumhara nam nahe liya ye soch kar k pehle tumhare khayalat janne chahye tumhe herani ho rahe ho gi k mujh mein achanak itna bara change kese a gaya,han aur tum itni behki behki baatein keun karne lage ho’Hina bech mein he bol pari.Umer k chehre per muskoraht a gai .tum isse behki batein keh sakti ho lekin ye be-irada aur be-soche samjhe hargiz mere monh se nahe niklin.mein tu kafi arse se inhein dil mein dabae hoe tha keun k mein ne suna hai ghalat waqt per ki jane wali aham se aham baat bhi be-mani  ho jati hai

Tum ne ab bhi kuch ziyada acha waqt nahe chuna hai baat karne k liye’peshani pe aae pasine k qatre apne hath se saf karte Hina ne uss se kaha.meri samajh mein nahe a raha Umer k mein kia kahon.uss k lehje se chalakta iztarab mehsos kar k Umer ko ajeeb si be-cheni hone lagi

Mein tumhare jazbat samajh sakti hon lekin mein ne kabhe tumhare bare mein iss tarha se nahe socha .ye koi wajha nahe hai Hina’mehaz jan chorane ka ek bahana hai woh tezi se bola.

Acha he hoa tum ne chachi k samne mera nam lene se pehle mujh se poch liya’mein hergiz nahe chahti k tum unn k samne mera nam lo’tumhare dil mein mere liye jo bhi jazbat hein mein un ki qadar karti hon lekin mein  ne tumhare bare mein kabhe ese nahe socha.I am sorry.woh sapat lehje mein bolti gai ye dekhe bagher k iss ki baton ka Umer per kia aser hoa tha’shaid usse Hina se iss dotok jawab ki umeed nahe thee

Tum mujhe apne iss inkar ki koi sahe wajha btao gi Hina.sahe wajha woh herat se usse dekhne lagi’iss se ziyada sahe wajha aur kia ho gi k mein ne tumhare liye woh sab mehsos nahe kia jo tum karte ho.jise tum chaho woh bhi tumhe pyar kare ye zarori tu nahe hai Umer itne samajhdar insan ho phir mujhe tumhe ye baat samjhani  keun  par rahe hai’mein nahe kar sakti tum se shadi.Hina ka andaz bohat be-lachak tha woh Umer ko koi ummed dena nahe chahti thee’shaid iss waqt woh bohat khudgharz ban gai thee.ager ek bar bhi woh apne ander jhank leti tu shaid Umer ki mohabbat ko itni bedardi se na thukrati.woh uth khari hoi’ Umer bhi uth kar uss k moqabil a gaya.mein tumhe itna behis nahe samajhta tha Hina’ tumhare nazdeek  meri mohabbat ki koi ahmiyat nahe hai’ na jane kab se mein dil he dil mein tumhe chahta raha hon mera khyal tha k jab mein tum per apni ye shiddaten ashekar karon ga tu tumhari taraf se bhi mujhe wohe sab sunne ko mile ga jise sunne ka mein shiddat se muntazir tha’ jisse iss sare arse mein mein ne najane kitni he bar tasawar he tasawar mein tumhe kehte sunna tha.mein ne tu khwab mein bhi nahe socha tha k tum iss tarha bhi react kar sakti ho.dukh ki shiddat se uss ki aawaz dhemi ho gai thee.Hina usse dekhne se gurez kar rahe thee.

Mein bebas hon Umer’mere ikhteyar mein kuch bhi nahe hai tum ne theek kaha k mein behis ho chuki hon’mere dil per shaid ab koi khubsorat jazba asar na kare’mujhe be-etbar hone se dar lagta hai’mujh mein mazeed apni izzat-e-nafs k kuchle jane ki taab nahe hai’tumhare jazbe sache ho sakte hein lekin meri zaat ka etmad chakna chor ho chukka hai.woh dil he dil mein uss se mukhatib thee

Itni bari nadani mat karo’jis per baad mei tum pachta bhi na sako’woh bojhal lehje mein keh raha tha.Hina khamosh khari rahe.tum iss waqt jo bhi kaho inn baton k bawajod mein tumhare musbat jawab ka intazar karon ga’apna fesla suna kar woh mazed ruke bagher wahan se chala gaya

Adeel ki shadi ka hangama shoro ho chukka tha go-ke Sidra k ghar wale itni jaldi shadi k haq mein na thee per tai koi risk lene per tayyar nahe theen. Allah Allah kar k tu Adeel razi hoa tha iss liye woh chahti theen k ye shadi  jald ho jae.

Shadi mein jis ne bhi Sidra ko dekha uss  ki khubsorti ki taref kie bina na reh saka’uss k ghar wale bhi suljhe hoe log thee.Sidra ekloti  thee iss wajha se uss k kafi sare cousins uss k behan bhaiyon ki kami pori kar rahe thee.ek handsome sa larka jo her kam mein pesh pesh tha aur yahan sab he ko Sidra se uss ka rishta janne mein dilchaspi thee’phir thori  he der baad ye baat khul gai k Ali darasal Sidra ka khalazad bhai hai’dono ka bachpan ka sath hai aur dono bohat ache dost bhi hein ye baat Sidra ki ammi ne Ali ka tarof karwate hoe bohat fakhriya andaz mein btai’ aur ye baat jab Zoni ne Zeba ko btai tu iss ne be-ikhteyar qehqaha lagaya’ yahan per bhi ek cousin nikal he aaya’ shaid Adeel ki qismat he esi hai.kia matlab tumhara iss baat se Zoni ne heran ho kar usse dekha’matlab tu saf hai ‘Sabiha se shadi se inkar bhi Adeel ne iss k kisi cousin ki wajha se kia tha aur yaha tu baqol Sidra ki ammi k dono mein gehri dosti hai’Adeel iss bare mein kia soche ga’kuch andaza hai Adeel ki shakki tabyat ka.Zeba ne Zoni ko samjhate hoe kaha.aree han’Zoni ne ser hilaya ‘lekin kia ye baat tai ko pehle se malom nahe thee Sidra ki ammi tu unn ki best friend hein.mera tu khayal hai nahe pta thee’Sidra k ghar wale in baton ko ziyada ahmiyat nahe dete iss liye unhon ne tai ko btana zarori nahe samjha ho ga ab unn becharon ko kia pta k jis bande se woh apni beti ka naseeb phorne ja rahe hein woh kitna touchy hai iss mamle mein.Zeba ne baat khatm kar k Sidra ki taraf dekha jo kuch deer pehle he apni ammi k ghar se wapis I thee

Kitni khush khush lag rahe hai na uss k chehre pe pheli muskorahat dekh kar Zeba ne in se kaha tha’Hina bhi kuch deer pehle he in k darmeyan a kar bethi thee khoobsorat aur khush qismat log zindagi mein kabhe ghair mutmain nahe rehte khushi hamesha unn k qadam chomti hai.esa nahe tha k woh ab bhi Adeel k bare mein sochti thee ya usse Sidra se koi jealousy feel ho rahe thee’baas koi koi lamha esi beikhteyari ka hota tha jab dil ko sanbhalne k sare sahare be-sood sabit hote thee.iss waqt bhi esa he hoa tha.Zeba ne chonk kar usse dekha tu woh nigahein chora gai’abhe kal he tu uss ne zeba ko Umer k bare mein btaya tha aur woh kitna khush hoi thee sunke k uss ka bhai bhi usse he dil mein basae hoe hai jise woh bhabi bnane ki khuwahishmand hai

Uffff ye Umer bhi na’ek number ka mesna hai’kabhe jo pta chalne diya ho aur chalaki dekho k itne dinon se mein uss se tumhare bare mein poch rahe hon mager kuch monh se photta he nahe’mujhe tu apne pagalpan pe ghussa a raha hai aj tum dekhna Umer se zaberdast jhagra hone wala hai apne he josh mein bolti Zeba ki nazer jab uss k gumsum chehre pe pari tu heran reh gai.Hina kia hoa?kuch nahe.Hina dil ko kisi kashmakash men parne na do’uss ne dil se tumhara sath chaha hai tum bhi apni fazol si uljhan ko khatm kar k uss ka hath thaam lo’Umer kesa insan hai ye tum mujh se behter janti ho.uss ki mohabbat ko thukrana mehaz bewakofi  hai .Zeba usse bohat apnaiyt se samjha rahe thee.ye alag baat hai k Hina ab bhi hichkichahet ka shikar thee ye soch kar k Zeba ko aasal baat ka pta nahe k mein ne kabhe Adeel ko chaha tha Umer shakki tabyat ka na sahe per mardon ka mezaj badalte kia deer lagti hai.ho sakta hai kabhe usse iss baat ka pta chale tu mujhe uss ke dil se uterne mein lamha bhi na lage’aur abhe bhi uss ki fitrat janne ka dawa nahe kar sakti’kia pta usse bhi meri Ayaz,Bilal wagera se betakallufi se baat karna bura lagta ho’haad se bahir lagta ho’iss soch se aage woh kuch sochna nahe chahti thee ye bhi nahe k ager Umer esi koi soch rakhta tu usse kabhe purpose nahe karta

Sidra bohat saf dil ki masom larki thee ye andaza Hina ne kuch dino mein laga liya tha in k sath uss ki bohat achi dosti ho gai thee .mager Hina ne notice kia k jab bhi larkon mein se koi a kar bethta  woh ghair mehsos aandaz mein uth jati thee Hina ka khayal tha k ye sirf iss ne he note kia hai’lekin ek din Bilal ne keh he diya ‘kia baat hai bhabi aap ko hamare sath bethna pasand nahe baat karna acha nahe lagta

Nahe tu esi koi baat nahe’Sidra ghabra si gai iss baat per iss waqt iss ki nervousness mehsos kar k Hina ne he baat badal di thee.woh samajh gai thee Sidra k behaviour ki wajha.

Shadi k kuch dinon k baad Sidra ka cousin usse lene aaya tha’lekin dobara uss ki aamad kabhe nahe hoi.ye gutthe bhi Hina ne bagher kisi mushkil k suljha li thee.baas Sidra se tasdeeq karna baqi tha na  jane isse keun yaqeen tha  k Sidra uss k ek baar pochne per heusse sab bta de gi aur phir hoa bhi yehe shaid Sidra khud bhi kisi se dil ka hal kehne k liye bechain thee.Hina k apnaiyat se poche jane per iss k  ander kholte laway ko jese bahir nikalne ka rasta mil gaya tha.

Janti ho Hina’ mein ne kabhe koi seheli nahe bnai’ bachpan se he mein nehait darpoke si larki thee.mujh mein itna etmad bhi nahe tha k mein kisi se theek se baat bhi kar pati’ behan bhai jese rishton  se mehromi  ne mujhe mazed kamgo bna diya tha.ek Ali he tha jo mera cousin bhi tha’mera bhai bhi tha aur dost bhi’mein uss se dil ki her baat keh jati thee lekin ab woh kehte kehte chup ho gai.uss k surkh chehre aur bhige ankhon se uss ki dili kefyat aayan thee.

Darasal Adeel ko pasand nahe hai’uss ne btaya tu Hina ek gehri saans le kar reh gai yehe tu woh sunna chahti thee.ye uss ne mujhe pehle he din samjha diya tha k mein uss k cousins k sath ziyada baat cheet  se gureez karon aur unn k samne kam kam he aaon.tumhe yad hai ek baar Ali mujhe lene aaya tha tab itna shaded raddeamal zahir kia  tha Adeel ne k mein rone lagi thee kai din disturb rahe thee’ Ali mera cousin hai mere bhaiyon jesa hai lekin Adeel ne jis tarha react kia woh mein kabhe nahe bhol sakti’ apne aur Ali k rishte k hawale se mein ne Adeel ki ankhon mein jo shak o shubhat dekhe iss se qasorwar na hote hoe bhi mein khud ko mujrim samajhne lagi.Adeel bohat ajeeb insan hai Hina’ woh etbar karna nahe janta’ woh etmad dena nahe janta mein tu uss ki zindagi mein ab shamil hoi hon lekin uss k cousins tu bachpan se uss k sath hein kia Adeel ne abhe tak unn ki fitrat nahe jani unn ka mizaj nahe samjha’ itni be-yaqeeni  itni be-etbari keun hai usse’ keun usse lagta hai k uss k ilawa duniya ka her insan corrupt hai’ loose character hai’ buri neyat wala hai’ usse apni biwi tak per etbar nahe hai’ iss se barh kar uss ki badgumani ki intaha aur kia ho gi.dukh aur bebasi  se kehte woh apne dil ki bharas nikalti chali gai.Hina gumsum si bethi thee.isse qattai andaza nahe tha k bazahir khush bash si dekhai dene wali Sidra Adeel k shakki mizaj se iss darja pareshan hai aur apne dil mein itne shikway chupae bethi hai

Miyan aur biwi ka rishta tu yaqeen ka rishta hota hai’ mohabbat se bhi pehle ager iss rishte mein etbar na ho tu phir sab kuch be-mani hai aur Adeel… uss k nazdeeq koi bhi qabil-e-bharosa nahe hai siwae uss ki apni zaat k. mujhe tu behad mushkil nazer aata hai Hina’ pta nahe mein kabhe uss ka yaqeen jeet bhi paon gi ya nahe.kitni bebasi aur mayosi thee uss k lehje mein’Hina baas usse dekh k reh gai’ koi jhoti  taslli’ koi dilasa bhi na de saki.

Umer ne kaha tha k woh uss k musbat jawab ka intazar kare ga’ uss waqt Hina ka khayal tha k itne dotok jawab k baad bhi Umer ki koi khush- kun umeed Umer ka pagal-pan hai.mehaz khush fehmiyon k sahare kisi ki mohabbat ko pana aasan kahan hota hai’ aur ab jab jazbaat mein tabdili I tu soch k zawiye bhi badal gae.itne dinon tak khud per be-hissi taari kiye’haqeeqat se daman chorane ki  koshishen karna tark kien tu bohat si baatein khud ba khud he uss per khulti chali gaein’ chahe jana aur kisi ki mohabbat ka markaz o mehwar banna kitna khoobsorat kitna dilkash hota hai ye Hina ne ab jana tha.

Aj Umer ko dekh kar uss k qadam Umer ki janib barhte chale gae’ woh terrace  per khara kisi soch mein gum tha yahan tak k uss ki aamad tak mehsos nahe ki.

Hello… kia ho raha hai’Hina ne qareeb a kar kaha’woh chonka zaror lekin uss ki taraf nigah nahe ki.

Intezar

Kis ka?woh kuch heran hoi.tum se behter ye aur kon jan sakta hai’ woh dhere se muskorate hoe bola’lekin mein nahe janti muskorahat chupati woh anjan bani.meri zindagi per chhai aas o niras mein dobi sham dhale tu shaid mera intazar bhi khatam ho jae.

Umeed achi cheez hai Umer lekin tumhari mohabbat itni kamzor tu nahe k isse sirf khush gumaniyan’umeedein aur imkanat he milein.ye tum keh rahe ho’ meri ye aas o niras ki kefiyat tumhari he tu anayat  karda hai .mohabbat mein kisi k sath ka yaqeen’kisi ki chahat banne ka fakhar nahe milta tu na sahe’khush gumani aur khush umeedi tu dil pal he sakta hai na

Bilkol pal sakta hai’ woh muskorai iss waqt itminan aur khushi uss k chehre se chalak rahe thee’aankhon mein anokhi si chamak’Umer mehsos kiye bina na reh saka.

Bohat khush lag rahe ho’ han…. Woh tu hon.Hina ne taeed ki.

Kisi bure khawab ko dekhne k baad khobsorat haqeeqat ka samna ho tu khushi  tu hoti he hai’mein bhi esi he khushi k ghere mein hon.uss ne ser utha kar Umer ki aankhon mein dekha jo bohat ghor se usse dekh raha tha.tum ne kaha tha na k mein esi koi nadani na karon’jis per baad mein mujhe pachtane ka moaqa bhi na mile.

Matlab?Umer ki aankhon mein uljhan terne lagi.matlab ye k mein apni aainda zindagi mein koi afsos’koi aazer nahe chahti’ mein chahti hon k tum chachi k samne mera nam lo…mein apni pori zindagi tumhare sath guzarna chahti hon.Umer heran sa Hina ko dekh raha tha kitni khuwahish ki thee uss ne Hina k monh se ye sab sunne k liye aur kitna intezar kia tha.

Sach keh rahe ho’Umer ne uss ki aankhon mein jhankte hoe pocha.bilkol sach’ Hina k chehre per dhemi si muskan a gai.

Jab mere itne hosla shiken jawab k baad bhi tum itne yaqeen k sath mera intezar kar rahe thee tu phir ye kese momkin tha k mein tumhara yaqeen tor deti aur palat kar tumhare pas na aati.thank you Hina tum ne mera ye intezar raegan jane nahe diya’ woh dil se muskoraya tha aur Hina k ander dheron itminan uterta chala gaya.

Hina ne ye fesla ussi din kar liya tha jis din usse Sidra se us ski shadi shuda  zindagi ki asliyat pta chali thee aur tab he usse ye idraak bhi hoa tha k zindagi mein jo bhi chote chote dukh ‘taklefein hoti hein woh kisi bare gham aur kisi bari musibat se bachane k liye hote hein.Hina ne Adeel se mohabbat ki thee’uss k sath ki khuahish ki thee’kabhe ye  socha bhi nahe  tha k who usse thukra de ga aur woh bhi itni ghatya baat ko issue bna kar.ager esa na hota aur woh Adeel ki zindagi mein shamil ho jati tu apni mohabbat aur chahat k badle mein Adeel se milne wale shakok aur badgumaniyan isse tor k rekh detein

Woh behad hassas larki thee’uss k liye uss ki izzat-e-nafs her cheez se barh kar thee’uss ki mohabbat se bhi barh kar’apni zaat k liye Adeel ki be-etbari shaid Hina seh na paati.dukh tu usse Adeel k thukrae jane ka bhi hoa tha’ woh hurt  hoi thee aur roi bhi bohat thee’lekin ye rona zindagi bhar k rone se behter tha’ aur tab he isse ye ehsas hoa tha k ager iss ne Umer jese sache aur khare insan ko thukra diya tu zindagi mein kabhe khush nahe reh sake gi.issi liye iss ne barwaqt ek sahe fesla kar ke dil ko mazeed kisi pachtave aur kasak se bcha liya tha

Usse yaqeen tha  Umer ki mohabbat per aur Umer ki sangat mein apni zindagi k khoobsorat hone per.

Show more